Azan Se Pehle Durud e Shareef Padhna Haram Hai Ya Makrooh?


 Azan Se Pehle Durud Padhna Kaisa Hai?



Hadees: Hazrat Zubair RZ Se Riwayat hai Aur Wo Ek Qabila Jis Ka Naam Bani Najjaar Hai uski Ek Khatoon Se Riwayat Karte Hain, Wo Khatoon Kehte Hain Ki Mera Ghar Masjid Ke Charon Taraf Ke Gharon Me Sab Se Zyada Buland Tha, Hazrat Bilal RZ Us Per Chad Ke Fajr Ki Azan Diya Karte The, Wo Subah Shuru Hone Se Pehle Aakar Subah Sadiq {Fajr Ki Subah} Ka Wait Karte Jaise Hi Waqt Aajata Wo Allah Tala Se Dua Mangte {Aye Allah Mai Teri Hamd Bayan Karta Hun Aur Quresh Ke Liye Teri Madad chahta Hun Ke Wo Tere Deen Ko Qayem Karen}. 

Aur Wo Khatoon ye Bhi Kehti Hain Ki Allah Ki Qasam Mujhe Yaad Nahi Padta Ke Hazrat Bilal RZ Ne Kisi Ek Shab Me Bhi Ye Dua Na Padhi Ho.
Iski Riwayat Abu Dawud Ne Ki Hai Aur Ye Hasan Hai

Durud e Paak Bhi To Ek Dua Hi hai Jis Me kaha jata hai Ke 
{Aye Allah Paighambar Mohammed SAW Per Durud Bhej Aur Unki Aal Per} Kahan Se Haram Hua}.

Ji Han Azan Se Pehle Durud e Paad Padhna Bilkul Jaiz hai
और नया पुराने