Kya Huzoor (SAW) Ko Ghaib Ka Ilm Tha?

Ilm e Ghaib {Knowledge of  The Unseen}


 Hadees Ki Daleel Aapko Daleel Button Me Dedi Jaygi Jahan Se Aap Hadees Ki Asal Matan {Hadees Ka Main Text Jo Nabi Kareem SAW Ne Kaha Hai} Dekh Sakte Hain Chaliye Shuru Karte Hain...

Hazrat Umar Bin Khattab {RA} Se Ye Riwayat Ki Gayi Hai Ke, Unho Ne Farmaya Ke Mai Ek Roz Rasool Allah SAW Ki Khidmat Me Hazir Hua Ke Achanak Humare Samne Ek Aadmi Zahir Hua Jis Ke Kapde Behad Sufaid The Aur Baal Bohat Siyah {Kaale} The,  Aur Na Usper Safar Ke Aasar The {"Musafir" Yani Wo Safar Karke Aane Wala } Bhi Nahi Dikh Raha Tha, Hum Me Se Koi Usko Pehchanta Bhi Nahi Tha.

Aage Aata Hai Ke 

Usne Islam Aur Iman Aur Ihsan Aur Qayamat Ke Bare Me Sawal Kiya {Puri Hadees Hum Ne Daleel Button Me Rakhi Hai Jo End Me Hai Wahan Jakar Dekh Sakte Hain}

Aapko Sirf Ilme Ghaib Ke Bare Me Sarkar Ko Ye Ilm Tha Ya Nahi Wo Bataya Jayega.


Hadees: Jab Us Aadmi Ne Qayamat Ke Bare Me Sawal Kiya To Hazrat Mohammed SAW Ne Farmaya Jis Se Tum Puch Rahe Ho Wo Bhi Puchne Wale Se Zyada Nahi Janta Phir Us Aadmi Ne Kaha Ke Qayamat Ki Nishaniyan Bataiye To Hazrat Mohammed SAW Ne Batadiya.


Important Message


ILm Ki Nafi Hazrat Mohammed SAW Ne Nahi Ki Yani Jab Kisi Ko Kehna Ho { I DON'T KNOW / Mai Nahi Janta} To Arabic Me {LA AALAMU / لا اعلم} Kehte Hai

Aur Is Hadees Me Nabi Kareem SAW Ne {ilm Ki Nafi Nahi Ki Yani Mujhe Ye Ilm Ke Bare Me Nahi pata Hai Aisa Nahi Farmaya} Balke Kaha {Mal Mas Uolu Bi Aalama Minas Saa ili مَا المسءُول باَعۡلَمَ مِنَ السَّایِٔل}

Arabic Grammar Me Ye Tab Istemal Hota Hai Jab Bolne Wala Aajzi Se Bole Ya Ilm Chupana Chahta Ho Kyun Ke Ye Ilm Asrar e Ilahi Me Se Hai.

English ki Misal {The person you’re asking doesn’t know more than you do} Yani Iska Mujhe Tum Se Zyada Ilm Nahi Qayamat Ka Ilm Asrar e Ilahi Me Se Hai Isi Liye Uska Chupana Bhi Zaruri hai (Mirat Shareh Mishkat).

-:Points:-

Aur Huzur e Paak SAW Ne Jo Pehle Farmaya Ke {Mujhe Tum Se Zyada Ilm Nahi Ye Aajzi Se Aapne Bola} Isliye Ke Sahaba Ke Nazar Me Wo Aadmi Tha Magar Hazrat Mohammed SAW Ko Ye Bhi Pata Tha Ke Wo Jibrael Hai Isi Liye Aajzi Ikhtiyar Ki, Aur Phir Dusri Baar Aapse Pucha Gaya To Aapne Qayamat Ki Nishaniyan Batlayin.

Ab Aap Hi Boliye Pehle Qayamat Ke Mutalluq Pucha Jibrael Ne, To Hazrat Mohammed SAW Ne Aajzi Ki To Jibrael Ne Phir Kaha Ke Acha Chaliye Qayamat Ki Alamaten {Symptoms} Bataiye To Aap SAW Ne Bataya Agar Waqai Nahi Maloom Hota To Is Bar Bhi Mujhe Nahi Pata Is Ilm Ke Bare Me Kehdete. 

{Pehle Qayamat Ke Mutalluq Pucha Dusri Baar Qayamat Ki Alamaten {Symptoms} Puchagaya, Kiya Qayamat Ki Alamaten Qayamat Ke Mutalluq Nahi Hain}

Aur Us Aadmi Ke Jane Ke Baad Aapne Hazrat Umar rz Se Farmaya Ke Pata Hai Wo Kon The To Hazrat Umar RZ Ne Arz Kya {Yani Bola} Allah Aur Uska Rasool Hi Behtar Jaanne Wala Hai To Phir Hazrat Mohammed SAW Ne Farmaya Ke Wo Jibrael Alaihis Salam The. {Ye Bhi To Ilm e Ghaib Hi Hai }

{Hazrat Mohammed SAW Ko Allah Tala Ne Ilme Ghaib Diya Tha}.


{Abhi Aur Dalail Hain Soft Copy Banrahi Hai, Jaise Hi Banegi Aap Tak Pohanchaya Jayega}











Warning

{Ab Koi Majhool UN Nasab Bole Ke Jibrael Ki Shanakhat Ilm e Ghaib Nahi To Aison Se Puchiye Ke Kya Tu Ne Jibrael AS Ko Dekha Hai Zaher Si Baat Hai Us Ke Baap Ne Bhi Nahi Dekha Hoga, Agar Har Koi Dekh Sakta To Ghaib Nahi Kaha Jata}.
और नया पुराने