Daur e Jaheliyat Ek Nazar Me {Daur e Jaheliyat One Shot}
Islam Se Pehle Arab Society Mein Ladkiyon Ki Halat Bohot Kharab Thi. Is Daur Mein Ladkiyon Ke Liye Kuch Ahmiyat Nahi Thi, Aur Unhein Aksar Izzat Aur Haqooq Se Mehroom Rakha Jata Tha.
Arab Ki Halat: Wahan Ke Logon Per {Khud Mukhtari Yani Aazadi} Ne Bura Asar Dala Tha, Is Buri Aadat Ki Wajah Se Unme {Khud Siri Yani Apni Marzi Ki Parwaa Karna Dusron Ki Parwaa Na Karna} Wo Log Apni Bahaduri Sirf Apne Hi Bhaiyon (Brothers) Per Nikal Te The, Be-kari Aur Kahili Ne Juwa {Gambling} Aur Sharaab {Alcohol or Wine} Ki Aadat Paida Kardi Thi, Ye Log Bade Fakr Se Apni Betiyon Ko Zinda Zameen Me Dafan Karte The. Jahalat Ne Un Logon Me {But Parasti Yani Murti Ki Ibadat} Ko Bhi Paida Kardiya Tha. Kayi Logon Ne Apne Mazhab Ko Kharaab Banadiya Tha Agar Musa AS Ya Isah AS Aur Dusre Paighambaron Ko Unke Dekhne Ka Mauqa Milta To Wo Hargiz Nahi Pehchan Sakte Ke Ye Humare Hi Usool Per Chalne Wale Log Hain.
Aam Christians {Isaai} Isa AS Ko Khuda Ka Beta Kehte The Aur Arab Ke Christians Hazrat Maryam AS Ko Khuda Ki {Zauja Biwi} Kehte Aur Farishton Ko Khuda Ki Betiyan.
Yahudi Jo Arab Me The Wo Apni Qaum Ke Saare Mard Aur Auraton Ko Khuda Ki Betiyan Aur Bete Kehte The. Isi Liye is Zamane Ko Daur e Jahalat Kaha Jata Hai. Huzur e paak SAW Ke Aane Se Pehle Ye Sab Hota Tha.
Us Zamane Me Aag Ki Ibadat Karne Wale Log Apni Haqeeqi Walida Ke Alawa Apne Baap Ki Saari Zauja Ko Londi Bana Kar Rakhte The.
Miras Se Mahroomi: Daur-e-jaheliyat Mein Ladkiyon Ko Miras (Inheritance) Ka Haq Nahi Diya Jata Tha. Jab Kisi Mard Ki Maut Hoti, To Uski Saari Daulat Sirf Mardon Ko Milti Thi, Aur Aurton Ko Kuch Nahi Milta Tha.
Bachpan Mein Qatal: Kuch Log Ladkiyon Ka Janm Hone Par Unhein Qatal Kar Dete The, Ye Unki Soch Thi Ke Ladkiyan Sirf Muskilat Ka Sabab Banti Hain.
Daur e Jaliyat
Aur Bhi Bohat Zaleel Kiya Jata Tha Jis Ko Koi Padhe To Rooh Kaamp Jaye
Islam Aane Ke Baad
Islam {The Lamp of Humanity}: Hazrat Mohammed SAW Ne Aurton Ka Maqam Islam Me kiya Hai Bataya.
Quran: وَلَا تَقْتُلُوا أَوْلَادَكُمْ خَشْيَةَ إِمْلَاقٍ ۚ نَحْنُ نَرْزُقُهُمْ وَإِيَّاكُمْ ۚ إِنَّ قَتْلَهُمْ كَانَ خِطًأً كَبِيرً
Tarjuma: Aur Na Qatal Karo Apni Aulaad Ko Gharibi Ki Wajah Se, Hum Hi Rizq Dete Hain Unhe Bhi Aur Tumhe Bhi, Be-Wajah Aulad Ko Qatal Karna Bohat Badi Ghalti Hai. (Surah: Bani Israel 31)
Quran: وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُم بِالْأُنْثَىٰ ظَلَّ وَجْهُهُ مُسْوَدًّا وَهُوَ كَظِيمٌ، يَتَوَارَىٰ مِنَ الْقَوْمِ مِن سُوء مَا بُشِّرَ بِهِ أَيُمْسِكُهُ عَلَىٰ هُونٍ أَمْ يَدُسُّهُ فِي التُّرَابِ ۗ أَلَأَسَاءَ مَا يَحْكُمُونَ
Tarjuma: Aur Jab Ittelaa Di Jati Hai Unme Se Kisi Ko Beti Ki Paidaish Ki To Gham Se Uska Chehra Siyaah {Kala} Ho jata Hai, Aur Wo Ranj O Gham Se Bharta Jata Hai, Chupta Phirta Hai Logon Se Us Buri Khabar Ki Wajah Se Jo Use Di Gayi Hai (Ab Ye Sochta Hai Ke) Kia Wo Us Ladki Ko Apne Paas Zillat Ke Saath Rakhe Ya Gaadh Dale Use Mitti Me, Aah! Kitna Bura Hai Wo Faisla Jo Wo Karte Hain. (Surah: Nahl 58-59)
Hadees e Paak: Jis Ki 3 Betiyan Hon Ya 3 Behnen Hon Wo Allah Tala Se Dare Aur Un Bachiyon Ki Sahih Dekh Bhaal Kare To Wo Mere Saath Jannat Me Hoga.
Hadees e Paak: Ek Aur Riwayat Me Aata Hai Ki Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Jis Ki Teen Betiyan Ho Aur Wo Unper Raham Karta Ho Aur Unke Akhrajaat {Expenses} Ko Pura Karta Ho To Yaqinan Jannat Us Ke Liye Wajib Hai, Itne Me Mohammed SAW Se Pucha Gaya Ke Agar Do Bachiyan Hon To? Aap SAW Ne Farmaya Agar Do Hon To Bhi Yahi Khush khabri Hai.
Aurat Ke Bare Me Hairan Kardene Wali Hadees?
Hadees e Paak: Hazrat Mohammed SAW Ne Farmaya Ke Mai Jannat Ke Darwaze Per Khada Hua, Us Me Dakhil Hone Wale Aksar Masakeen {Ghareeb} Log The Aur Jab ke Maldaron{Wealthy People} Ko Rok Diya Gaya, Phir Mai Jahannam Ke Darwaze Per Khada Hua To Dekha Ke Usme Kasrat Auraton {Womens} Ki Hai. (متّفق علیہ/ بخاری و مسلم)
-:Alert:-
Jaisa Ke Ladkiyon Ki Islam Me Kiya Fazilat Hai Batadiya Gaya Hai, Kaise Us Ke Walidain Ko Jannat Wajib Hogi Agar Wo Qatal Ke Bajaye Us Ki Dekh Bhaal Karen.
Ab Ladki Ke Baligh {Yani Wo Sahi Or Ghalat Ka Farq Samajhne Ke Qabil Ho Jaye} Us Umr Ko Pohanch Jaye Wahan Se Hum Shariyat Ke Ahkam Kya Hai Samjhenge. Ladkiyon Ke 9 Saal Ki Umr Me Baligh Hone Ka Zikar Aksar Islami Fiqh Me Milta Hai, Fiqhi Kutub Ne Yeh Wazeh Kiya Hai Ke Agar Ladki Ki Mahwari 9 Saal Ki Umr Me Shuru Ho Jaye, To Yeh Uske Baligh Hone Ki Nishani Hai. Indians Me Ye 15 Years Me Bhi Hosakta Hai.
Hadees E Paak: Nabi Kareem SAW Ne Farmaya: "Qalam Teen Logon Se Uthai Gayi Hai: Jo Sota Ho Jab Tak Jaag Na Jaye, Jo Bacha (Baby) Ho Jab Tak Baligh (Bada) Na Ho, Aur Jo Pagal Ho Jab Tak Hosh Na Aaye."
(Sunan Abi Dawood, Hadith 4403)
Is Hadith Me Bhi Yeh Wazeh Hai Ke Balughat Woh Umr Hai Jab Insaan Shari'at Ke Ahkaam Ka Mukhatib Hota Hai, Magar Umr Nahi Batai Gayi.
Menstrual Bleeding (Haiz/حیض)
Inshallah Jald Aayega...
Notification Pop-up
!doctype>