ASSALAMU ALAIKUM
WARNING! Char 4 Logon se Khuwab Ki Tabeer Puchne Se Roka Gaya!
1. Bay Deen Logon se {Jo Shariyat e Islam Ke Paband Na Hon}.
2. Aurton Se {Womens}.
3. Jahilon Se.
4. Dushmano Se.
ALERT!!! SAVDHAN!!!
Hum Ne Aap Ka Khayal Rakhte Hue Tabeerat Ke Silsile Ko Shuru Kiya Hai Take Aapko Koi Khuwab Aaye To Aap Uski Tabeer Dekh Sake Isliye Hum Isme Tamheed {INTRODUCTION} Nahi Rakh Rahe Hain To Barae Maharbani Khuwab Ke Tabeerat Ki Ilmi Topic Is Me Discuss Nahi Hogi.
Agar Aap Sikhna Chahte Hain Ke Ye Ilm Hasil Kaise Kiya Jata Hai To Aap Uske Bare me Hum Se Raabta Karsakte hain Hum Insha Allah Puri Madad Karenge Ye Bohat Bade Auliya Allah Ki Kitab Ki Tahreer Hai Jisko Humne Bilkul Aam Zuban Me Likha Hai, Aur Isko Bohat Dichasp Banaya Gaya Hai, Ke Padhne Wale Ko Maza Aaye Wo Bore Na Ho, Asal Kitab Ke Likhne Wale {Hazrat Ibn e Sirin Hain} Chaliye Direct Shuru Karte Hain...
Alif Ke Hisse Ke Khuwab
آبادی {Aabadi / Population}
1. Agar Koi Insaan Khuwab Dekhe Ke Wiran Jagah Ko Aabad Karta Hai.
Jaise: Masjid, Madarsa, Khanqah Aur Jo Unke Hi Tarah Cheezen Abad Karta Hai.
Tabeer: To Ye Deen, Aur Aqal Ki Sulah Aur Akhirat ke Sawab Ki Daleel hai.
2. Agar Dekhe Ke wiran Zameen Ko Khud Aabad Karta Hai.
Jaise Saraye {HOTEL} Ya Dukan Waghaira Banata Hai.
Tabeer: To Is Jahan ke Fayede Aur Khair Yani Uski Behtari Ki Daleel Hai.
3. Agar Aabad Jagah Ko Wiran Dekhe.
Tabeer: To Daleel Hai ke Us Jagah Bala Aur Musibat Pohanchegi.
4. Agar Koi Aabaad Jagah Me Muqim{Wahan Rehta Hua}
Tabeer: Dekhe To Daleel Hai Ke Jitni Aabadi Dekhe Utna Khair o Nafa Payega Aur Uske Khilaf Dekhe To Shar Aur Fasaad, Nuqsan Payega.
☆ Imam Jafer Sadiq Farmate Hain Ke Aabaadi Ka Dekhna Char Wajeh Per Hai...
1. Is Duniya Ke Kaamo ke Sulah per.
2. Khair Aur Nafa.
3. Murad Aur Kamrani.
4 . Zyada Kamon Ko Karne Ki Salahiyat {Ability}.
آب {Pani / Water}
1. Hazrat Farmate Hain Agar Koi {سطحٔ آب / Water Level} Per Chalta Hua Dekhe.
Jaise: Darya {River} Ya Nahr {Canal}
Tabeer: Uska Paak Aqeeda Aur Iman Ki Taqat Ki Daleel Hai.
2. Agar Saaf pani Aur Khush Gawar Pani Bohat Chahe.
Tabeer: Uski Umar Lambi Hogi Aur Khush Hoga.
3. Agar Gandla {Dirty} Ya Shor pani Pita Hai.
Tabeer: Pehle Ke Khilaf Hai.
4. Aur Agar Dekhe Ke Darya {River} Se Saaf Aur Acha Pani Pita Hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Tamam Jahan Ka Badshah Hoga Aur Kuch Kamilin Kehte Hai Ke Us Darya Ke Pani Ke Pine Ke Miqdar {Qty} Per Buzrugi Aur Maal o Nemat Hasil Karega.
5. Agar Pani Saaf Bhi Hai Aur Gandla {Dirty} Bhi Hai.
Tabeer: Usko Gham Aur Sakhti {Mushkilat} Aur Khof {Fear / Dar} Aur Ghabrahat Pohanchegi.
6. Agar Dekhe Ke Pani Garam Pita Hai.
Tabeer: Bimari Aur Ranj {Gham} Ki Daleel Hai.
7. Agar Dekhe Ke Garam Pani Us per Giraya Gaya hai Aur Usko Khabar Bhi Nahi hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Usko Bimar Hoga Ya Usko Saqt Gham Milega.
8. Aur Agar Dekhe Ke pani me Gira hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Gham Me Giraftar Hoga.
9. Aur Agar Pani Piyale {Cup} Me Uthaye.
Tabeer: Daleel Hai Ke Maal Aur zindagi Ka Aashiq {Lover} Hoga.
10. Aur Agar Kaanch Ke Piyale {Glass Cup} Me Apni Aurat Ko Pani Diya Aur Piyala Tuta Hua Ho.
Tabeer: To Biwi Maregi Aur Bacha Rahega.
11. Agar Pani Gira Aur Piyala Khali Raha.
Tabeer: Daleel Hai Ke Bacha Marega Aur Aurat Bachegi.
12. Aur Agar Dekhe Ke Be Wajah Logon Ko Pani Deta Hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Duniya Aur Aakhirat Me Logon Ko Us Se Fayeda Pohanchega Aur Wiran Jagah Ko Aabad Karega.
13. Agar Dekhe Ke Jis Ghar Me Pani Gira Hua Hai Us Ghar Me Dakhil Hota Hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Ghamgeen Aur Fikr Mand Hoga.
14. Aur Agar Dekhe Ke Piyale Ke Saaf Pani Saaf Pani Ko Kutte {Dog} Ki Tarah Piya Hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Aish O Ishrat {Khushi Aur Aaram} Se Zindagi Guzarega. Lekin Aisa Kaam Karega Ke Bala {Musibat} Aur Fitne Me Padega Aur Maal Ko Thoda Thoda Karke Logon Me Baqshega Aur Khairaat Me Kharch Karega.
15. Agar Pani Ko Waqt Per Zyada Hote Hue Dekhe.
Tabeer: Is Saal Me Nemat {Blessing} Yani Nematen Zyada Milengi.
16. Aur Agar Pani Dekhe Ke Zameen Me Jazb Hogaya Hai.
Tabeer: Daleel Hai Ke Aam Logon Ko Salamati Ki Aafiyat Hasil Hogi.
17. Aur Agar Dekhe Ke Pani Logon Ke Saron Per Chada Jaraha Hai.
Tabeer: is Saal Mulk Me Nemat Aur Faraqi Hogi.
Allah Ka Farman: اِنَّا صَبَبۡنَا الۡمَاءَ صبًّا {Hum Ne Pani Ko Khub Achi Tarah Giraya Hai}
18. Agar Dekhe Ke Uske Ghar Me Saaf Paani Hai.
Tabeer: To Nemat Aur Khush Aishi Paega.
19. Aur Agar Dekhe Ke Ghar Me Gadle Pani Per Khada.
Tabeer: To Pehle Ke Khilaaf Hai.