Masail


Warning!!!

Hanafi, Shafi, Maliki Aur Hanbali Masalik Mein Ikhtilaf Is Liye Hai Ke Har Imam Ne Apni Apni Riwayat Aur Hadees Ko Samajh Kar Apnaya. Unka Asal Maqsad Yeh Tha Ke Hazrat Muhammad (Saw) Ki Koi Bhi Hadees Chhuti Na Rahe, Is Liye Har Ek Ne Apne Tareeqay Se Fiqh Ko Samjha Aur Apnaya. Sab Ka Maqsad Ek Hi Tha: Har Hadees Ka Ehtiram Aur Uska Amal.


Course of Content 🕯️  فہرست


1. Wuzu Ke Aham Masail.

2. Wuzu Todne Wali Cheezen.

3. Ghusl {Islamic Bath}.

4. Tayammum (Dry Ablution).


Taharat



Taharat: Arabic Dictionary📙 Se Dekha Jaye To Saaf Suthre Rehne ka
 Naam Hai.


☪️Shariat e Islam: Taharat Islam me Napaki ko Apne Jism Se Dur Karne Ka Naam Hai.


 🕯️Aayat:

 یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اِذَا قُمْتُمْ اِلَى الصَّلٰوةِ فَاغْسِلُوْا وُجُوْهَكُمْ وَ اَیْدِیَكُمْ اِلَى الْمَرَافِقِ وَ امْسَحُوْا بِرُءُوْسِكُمْ وَ اَرْجُلَكُمْ اِلَى الْكَعْبَیْنِؕ


Tarjuma: Aye Iman Walo Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Hone Ka Irada Karo To Dholiya Karo Apne Chehron Ko Apne Hathon Ko Kuhniyon Samet Aur Masah Karo Apne Sar Ka Aur Dho Apne Pairon Ko Takhnon Tak.








Note: is Aayat e Kareema Se Wudu Ka Farz hona Sabit Hai




Wudu ke Masail



🧺Wuzu me 3 Hisson Ka Dhona Aur Sar Ka Masah Karna Farz Hai,


Hanafi: Ke Nazdeek Wudu Me 4 farz hain jo Aayate Quran me Moujud Hain. 
Unme se Agar Ek Bhi Cheez Choot Jaye Gi Ya Bal Barabar Bhi Sukhi Reh Jaye Gi To Wudu Na Hoga.


Shafai: Ke Nazdeek Wudu Me Farz 6 Hain Char To Wahi Jo Aayt e Kareema Me Moujud Hain, Aur Do Uske Alawa
 1. Niyat.
2. Tarteeb.

Maliki: Ke Nazdeek Faraiz e Wudu 7 Hain Char To Wahi Jo Aayat Me Zikr Kiye Gaye Hain Uske Alawa Teen:
1. Niyat.
2. Mawalat (Lagatar Dhona)
3. Dalk (Ragadhna)


Hunbali: Ke Nazdeek Bhi 7 Hai Magar Satwin Cheez (Dalk Ragadhna) Ke Bajaye Tarteeb Hai.




WUDU KE AHAM MASAIL


Ikhtilaaf Ye Hai Ki Kohniyan Hathon Ke Dohne Me Aur Takhne Pairon Ke Dhone Me Dakhil Hain Ya Kharij?

  1. Hamare Teen Ulama Ke nazdeek Donon Kohniyan Aur Donon Takhne Dhona Farz Me Dakhil Hai, Imam Zufar Ka Ikhtilaf Hai.
  2. Imam Abu Hanifa Ke Aur Sahibain (Imam Abu Haneefa Ke Do Khaas Shagird)Ke Nazdeek Dakhil Hain.
  3. Kuch Cases Me Aisa Hi Kehna Hai Imam Shafai Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ka Aur Ek Riwayat Imam Malik Se Bhi Yahi Kahi Gayi Hai.


Imam Zufar ki Dalil:

Y
e Hai Ki Jab Kisi Cheez Ki Intiha Bayan Ki Jati Hai To Usme Khud Intiha Dakhil Nahi Hoti 
Jaise: ثُمَّ اَتِمُّوا الصِّیَامَ اِلَی الۡلَیۡلۡ

Is Ayat Me Inteha Raat Hai
Yani Roza Mukammal Karne Ka Waqt Raat Hai Ye Nahi Bataya Ke Adhi Raat Tihai Raat Sirf Raat, To Jaisa Ke Raat Se Muraad Raat Shuru Hote Hi Khola Jaraha Hai Waisa Hi Hathon Ko Kohinoyon Tak Se Muraad Kohniyan Shuru Hote Hi Rokna Chahiye Mukammal Dhona Nahi Hai


Humari Yani Imam e Azam Ki Daleel: Abu Huraira rz Ne Hathon Ko Dhote Waqt Kohniyon Ko Bhi Shamil Karliya Aur Pairon Ko Dhote Waqt Takhnon Ko Bhi Shamil Kiya Phir Farmaya Aap Ne Ki Mai Ne Hazrat Mohammad SAW Ko Bhi Aisa Hi Karte Dekha. {Muslim Shareef}




SAR KA MASAH


Aur Farz Hai Sar Ka Masah Karne Me Peshaani Ki Wo Miqdar Jo Chothaai Sar Hai
Us Hadees e Paak Me Hai Jis Ko Mughaira Bin Shoba Ne Riwayat Kiya Hai
Ke Rasool Allah SAW Ek Qaum Ki Kachra Ki Jagah (Kachra Kundi) Per Tashreef Laye Phir Aap Ne Peshab Kiya Aur Wuzu Kiya Aur (Miqdar e Nasiya) Aur Donon Mozon (Leather Socks) Per Masah Kiya

Jaisa ke hum Ne Kaha Tha Ke Har Chiz Asani Se Samjhai Jaigi Uper Jo Miqdar e Nasia Aaya Hai Uska Matlab Peshani Ki Wo Miqdar Jab Masah Karte Waqt Usper Se Shuru Kiya Jata Hai, Yani Peshani Ki Uper Ki Jagah Jahan Se Baal Shuru Hote Hain.


SAR KI KITNI MIQDAR PER MASAH KARNA FARZ HAI



1. Imam Malik Ke Nazdik Aur Imam Ahmad Ke Ek Qaul Ke Mutabiq Pure Sar Ka Masah Karna Farz Hai۔

2. Hanafi, Shafai, Hanbali Ke Nazdeek Kuch Sar Per Masah Karne Se Farziyat Ada Hojati Hai Aur Pure Sar Per Masah Karna Masnoon Hai.


Phir Masah Ki Had Kahan Tak Hai Us Per Ikhtilaf (Charon Imam Alag Hai


Shafai Ke Nazdeek Peshaani Ki Miqdar Sar Ke Kuch Hisse Per Masah Karna Farz Hai.
Shafai Ke Nazdeek Kam Se Kam Wo Miqdar Jis Per Masah Apply Hosakta Ho, Agar Ek Baal Hi Kyun Na Ho Us Per Masah Karne Se Farz Ada Hojayega.


Imam Malik Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ki Daleel:
hadees Paak (فبدأ بمقدم رأسہ ثم ذھب بیدہ الی مؤخر الرأس ثم ردھما الی مقدمہ)

Tarjuma: Aap SAW Ne Sar Ke Pehle Hisse Se Masah  Shuru Kiya Aur Gardan Tak Khinch Ker Le Gaye, Aur Masah Karte Hue Dono Hath Sar Ke Agle Hisse Per Le Aaye.

{NOTE: Is Hadees E Paak Se Maloom Hua Ke Pure Sar Ka Masah Karna Farz Hai}

JAWAB: Aap Ne Wuzu Ke Andar Pure Sar Ke Masah Karne Ko Farz Farmaya Hai, Ye Hukm Bator e Farz Nahi Hai Balke Bator e Kamal o Fazilat  Hai, Ye Aisa Hi Hai Jaise Teen Teen Martaba Huzur SAW Se Wuzu Karna Sabit Hai Lekin Ye Ek Martaba Farz Hai Teen Martaba Nahi Hai.

Imam Shafai Ki Daleel: Ayat e Wuzu Me Sar Ka Masah Karna Kuch Hisse Ka  Zikr Hai 

Imam Shafai Ka Ek Qayeda Hai Jo Daleel Button Per Dikhaya Jayega Wahan Se Dekh Sakte Hai
Behre Hal Us Qayede Ke Mutabiq Kuch Hisse Per Masah Karna Farz Hoga.


JAWAB: Aayat e Wuzu mein sar ka masah sirf aam tor par nahi diya gaya, balke yeh mukammal hidayat ke liye wazeh kiya gaya hai. Aur is wazahat ke liye Nabi Muhammad (SAW) ka amal, yani masah mathe par karna, zaroori hai. Is liye, mathe ka masah karna farz hoga.

🤩Hanafi Ki Daleel: Hazrat Anas Se Riwayat Hai Ke Maine Rasool Allah SAW Ko Dekha Aap Wuzu Karrahe The Aur Aap Ke Sar Per Qatari 👳Amama Tha Aap Ne Donon Hath Amame Ke Niche Dakhil Kiye Phir Sar Ke Agle Hisse Ka Masah Kiya.

💡 Is hadees Se Maloom Hua Ke Aap Ne Pure Agle Hisse Ka Masah Kiya Aur Sar Ka Pehla Hissa Hi Chothaai Sar Hai, Jis Ko Nasia (Peshani Ke Thoda Uper) Kehte Hai.




Wuzu Ki Sunnaten

Wuzu Ki Sunnaton Me Donon Hathon Ka Teen Martaba Dhona Hai, 

Jab Uthe Wuzu Karne Wala Apni Neend Se To Bartan Me Hath Dalne Se Pehle Apne Hathon Ko Teen Martaba Dhoye.

Hadees: Hazrat Abu Huraira Se Riwayat Hai Ki Rasoolallah SAW Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Aadmi Neend Se Jaage To, Mat Dakhil Kare Apna Hath Jab Tak Na Dhole Teen Martaba, Kyunki Koi Nahi Janta Ke UsKa Hath Raat Bhar Kahan Raha.


Wuzu Ke Shuru Me Bismillah Padhna

Wuzu Me Bismillah Padhne Ke Silsile Me 3 Mazhab Hai.

1. Imam Ahmed Bin Hanbal Ke Nazdeek Tasmiyah Padhna Wajib Hai.

2. Hanafi Ke Nazdeek Wuzu Ke Shuru Me Bismillah Padhna Wajib Nahi Balke Sinnat Ya Mustahab Hai.

3. Maliki Ke Nazdeek Bhi Wajib Nahi Balke Sunnat Ya Mustahab Hai.

4. Shafai Ke Nazdeek Bhi Aisa Hi Hai.


Ahmad Bin Hanbal Ki Daleel:

Huzur SAW Ne Farmaya Ke Baghair Tasmiyah (Bismillah Hir Rahmanir Raheem) Ke Wuzu Nahi Hota.


Hanafi, Shafai Aur Maliki Ki Daleel:

Bohat Se Sahaba (Usman e Ghani Aur Ali) Ne Bhi Nabi Kareem SAW Ki Wuzu Ki Hikayat Puri Tafseel Se Bayan Ki Hai Usme Kahin Bismillah Ka Zikr Nahi Milta Hai Agar Tasmiyah Wajib Hota To Un Ahadees Me Uska Zikr Zarur Hona Chahiye Tha.



           {Miswak Karna🖌️}

Aur Miswak 🖌️ Karna Bhi Sunnat Hai.

Hamare Charo Imam Is Baat Me Ek Saath Hain Ke Miswak Karna Sirf Sunnat Hai Wajib Nahi Hai.🎉🌹


Charo Imamon ki Daleel: Huzur SAW Ne Miswak Ko Hamesha Kiya Hai Magar Kabhi Kabhi Miswak Ka Istemal Nahi Kiya Hai.

Isliye Ke (Muazibat Ma AL Tark) Yani Lagatar Kisi Kaam Ko Karna Phir Kabhi Kabhi Nahi Karna (Sunnat) Hone Ki Daleel Hai.


Miswak Ko Tark (Na Karne) Ki Daleel: Huzur SAW Ne Ek Gaon Ke Aadmi Ko Wuzu Ki Taleem Di, Aur Miswak Karna Bayan Nahi Kiyan,  Agar Miswak Karna Wajib Hota To Aap Zarur Miswak Ki Taleem Dete.


Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Wuzu Me Kya Hai?

Is Bare Me Imam Malik Aur Imam Shafai Ke Nazdeek Wuzu Aur Ghusul Dono Me Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Sunnat Hai.

Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Nazdeek Wuzu Aur Ghusul Dono Me Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Wajib Hai.

Hanafi Ke Nazdeek Wuzu Me Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Sunnat Hai Aur Ghusul e Janabat Yani (Aisa Ghusul Jisko Kiye Baghair Aap Namaz Nahi Padh Sakte Agar Tandurust Hon) Aise Nahane Ki Hajat Ko Ghusule Janabat Kehte Hain,

Aise Ghusul Me Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Dono Farz Hain.

Imam Malik Aur Imam Shafai Ki Daleel: Aap SAW Ne Farmaya Ke Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Fitrat Me Se Hai.


Imam Ahmad Ki Daleel: Kulli Karna Wajib Is Hadees Se Hai { Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Jab Tu Wuzu Kare To Kulli Kar} Aur Naak Me Pani Dalne Ki Daleel Ye Hai {Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Jab Tu Wuzu Kare To Naak Chink Liya Kar}.
Ye Dono Hadeeson Me امر {Order} Diya Jaraha Hai [Yani Kulli kar Hukum Milraha Hai] Aur Fiqh Ka Qayeda Hai {Al Amru Lil Wujubi} Yani Hukum Wajib Ke Liye Hota Hai Isi Liye Imam Ahmad Ise Wajib Kehte Hain.


Hanafi Ka Jawab: Dono Hadeeson Me {اَمَرۡ Order} Wajib Ke Liye Nahi Balke {Istehbab Yani Mustahab} Ke Liye Hai Aur Uski Daleel Ye Hai {Nabi Kareem SAW Ne Ek Gaon Ke Aadmi Ko Wuzu Sikhate Hue Farmaya Jis Tarah Allah Ne Hukum Diya Hai Usi Tarah Wuzu Kar Aur Quran Me Jahan Allah Ne Wuzu Ka Zikr Farmaya Hai Wahan Kulli Karna Aur Naak Me Paani Dalne Ka Koi Zikr Nahi}

[Malool Hua Ke Ye Dono Chizen Wuzu Me Sunnat Hain Farz Ya Wajib Nahi]

Hanafi Ki Daleel: Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Kulli Karna Aur Naak Me Pani Dalna Wuzu Me Sunnat Aur Ghusul Me Farz Hai.


Dono Kanon👂 {Ears} Ka Masah Karna Bhi Sunnat Hai

Kiya Kanon Ears Ke Masah Ke Liye Naya Pani Liya Jayega Ya Nahi? Is Bare Me Do Maslak Hai.

1. Imam Abu Hanifa Ky Nazdeek Kanon Ears Ka Masah Sar Ke Pani Se Karna Sunnat Hai.

2. Baqi Teen (3) Ke Paas Naye Pani {New Water} Se Masah Karna Sunnat Hai

Teen Imamon Ki Daleel: Hadees e Paak: Huzur e Paak SAW Ne Kanon Ka Masah Karne Ke Liye Naya Pani Liya {Yani Sar Ka Masah Karne Ke Baad Phir Dusri Martaba kanon Ke Masah Ke Liye Bhi Paani Liya}, Is Hadees Se Maloom Hua Ke Kanon Ka Masah Karne Ke Liye Naya Pani Lena Bhi Sunnat Hai.


💡 Jawab: Ye hadees Tab Istemal Me Aati Hai Jab Hathon Ka Pani Bilkul Khashk {Sukh} Gaya Ho. {Aisi Surat Me Hanafi Follower Bhi Naya Pani Lega Kanon Ke Masah Karne Ke Liye}


Hanafi Ki Daleel: Hazrat Mohammed SAW Ne Ek Chullu Pani Lekar Us Se Apne Sar Aur Donon Kanon Ka Masah Kiya {Is Hadees e Paak Se Maloom Hua Ke Kanon Ke Masah Ke Liye Naya Pani Zaruri Nahi}



Aur Daadhi🧔🏻 Ka Khilal {Yani Daadhi Ke Baalon Ki Jadh Tak Paani Pohanchana} Bhi Sunnat Hai?

💡 Is Masle Me 3 Maslak Hain

1. Maliki Ke Nazdeek Wajib Hai

2. Tarafain{yani Imam Abu Hanifa Aur Imam Mohammed} Ke Nazdeek Mustahab (Yani Kare To Sawab Aur Na Kare To Gunah Nahi) Hai.

3. Imam Shafai Ke Nazdeek Sunnat Hai.

Maliki Ki Daleel: Wo Farmate Hain Ke Hadees E Rasool Saw Ki Ek Hadees Jis Ki Unke Mutabiq Grammarly Karwayi Ki Gayi To Natija Ye Nikla Ke Daadhi (Beard) Me Khilal Wajib Hai. Daleel Ke Liye Daleel Button Check Karsakte Hain.

Tarafain Ki Daleel : Aapne Daadhi Me Khilal Hamesha Nahi Kiya Isliye Wo Mustahab Hai.

Shafai Ki Daleel: Huzur E Paak Saw Ne Farmaya Mere Paas Jibrael Aaye Aur Kaha Ke Main Jab Bhi Wuzu Karun To  Daadhi Ka Khilaal Karliya Karun.




Haath🖐️ Aur Pair Ki Unglion Ka Khilal Karna?

Hanafi Aur Hunbali Ke Nazdeek Haath Aur Pairon Ki Ungliyon Ka Khilal Karna Sunnat Hai.

Maliki Aur Shafai Ke Nazdeek Mustahab Hai.

Hanafi Ki Daleel: Huzur e Paak SAW Ne Farmaya Jab Tum Namaz Ka Irada Kare To Wuzu Kaamil Tariqe Se Karo Aur Apne Haathon Aur Pairon Ke Ungliyon Ka Khilal Karlo.






Kitne Martaba Jism Ko Dhona Hai Wuzu Me?

 

Wuzu Me Teen Baar Jism Ke Hisson Ko Dhona Bhi Sunnat Hai.

Is Masle Me Do Mazhab Hain

Imam Shafai Ke Nazdeek 3 Baar Dhona Sunnat Hai Aur 3 Se Kam Ya Zyada Karna Khilaaf E Sunnat Hai

Baaqi 3 Imam (Hanafi Maliki Hunbali) Ke Nazdeek 1 Baar Farz 2 Baar Mustahab Aur 3 Baar Sunnat Hai.

 

Imam Shafai Ki Daleel: Wo Hadees E Paak Hai Jin Se 3 Baar Wuzu Karna Sabit Hai Ke Huzur e Paak SAW Ne Farmaya Jo Bhi 3 Baar Se Ziyada Karta Hai Wo Apne Aap Per Sawab Se Mahroom Hokar, Zulm Aur Ziyadati Karta Hai. (Hadees Daleel Button Me Hai).


3 Baar Se Kam Karne Ko Khilaaf e Sunnat Nahi Kaha Jasakta Isliye Ke Huzur e Paak SAW Ne 3 Se Kam Bhi Kiya Hai.

3 Imam Ki Daleel: Hazrat Umar RZ Se Riwayat Hai Ke Unho Ne Hazrat Mohammed SAW Ko Ek Ek Martaba (Pani Daal Kar) Wuzu Karte Dekha.

 

 

Niyat Karna Kaisa Hai?


Mustahab Hai Wuzu Karne Wale Ke Liye Taharat Ki Niyat Karna.

Niyat Dil Ke Irade Ko Kehte Hain, Shariyat Me Niyat Ye Hai Ke Dil Se Wuzu Ka Irada Kare Ya Gandagi Apne Jism Se Dur Karne Ka Irada Kare Ya Aisi Ibadat Ka Irada Kare Jo Baghair Taharat Ke Sahi Na Ho.


Mustahab Kiya Hai?

Mustahab: Wo Kaam Hai Jisko Nabi Kareem SAW Ne Kabhi Kiya Ho Aur Kabhi Choda Bhi Ho Aur Usko Ulama E Deen Ne Pasand Farmaya Ho.


Hanafi Ke Nazdeek: Wuzu Me Niyat Karna Sunnat Hai.


Shafai, Maliki, Hunbali Ki Daleel: (Inna Mal Aamalu Bin Niyaaat) Yani Kaamo Ka Karna Uski Niyat Per Hai, Aur Wuzu Bhi Ek Kaam Hai Isliye Ye Bhi Niyat Per Hoga.


Jawab: Hadees Me Kaam Se Murad Ibadat Hai Kyunki Bohat Se Kaam Aise Hain Jo Shariyat Me Baghair Niyat Ke Hojate Hain Jaise: Nikah, Tallaq Waghaira.

To Maloom Ye Hua Ke Sirf Ibadat E Mustaqila (Yani Permanent Ibadat Jaise: Namaz Roza Waghaira Murad Hai) Aur Wuzu Mustaqil Ibadat Nahi Yani Permanent Ibadat Nahi Balke Namaz Ke Liye Zariya Hai.

 

Hanafi Ki Daleel: Ek Aadmi Ne Wuzu Ke Bare Me Hazrat Mohammed SAW Se Pucha To Hazrat Mohammed SAW Ne Us Aadmi Ko Niyat Ki Taleem Nahi Di ( Is Se Maloom Hua Ke Niyat Karna Farz Nahi Hai Warna Huzur E Paak Niyat Ki Taleem Zarur Dete).

 

Sar Ka Masah Karna


Mukammal Sar Ka Masah Karna Bhi Sunnat Hai. 

Sar Ka Masah Karne Ka Tariqa: Dono Hatheliyaan Aur Dono Haathon Ki Ungliyon Ko Pani Se Geela Ya Nam Karlen Phir Dono Haathon Ki Teen Teen Ungliyaan Sar Ke Saamne Ke Hisse Per Rakhen Aur Dono Angothe Aur Shahadat Ki Ungli Ko Sar Per Lagne Na Den Phir Un 3 Ungliyon Ko Sar Ke Piche Tak Khinch Ker Le Jaayen Phir Dono Hatheliyon Ko Sar Ke Aage Ki Taraf Le Aayen Phir Dono Angothon(Thumbs👍) Se Kaan Ke Bahar Aur Dono Shahadat Ki Unglion Se Kaan Ke Andar Ka Masah Karen.


Shafai Ke Nazdeek: 3 Baar Naye Paani Se Pure Sar Ka Masah Karna Sunnat Hai. 

Hanafi, Shafai, Hanbali Ke Nazdeek: Sar Ka Masah Ek Hi Martaba Karna Sunnat Hai.


Shafai Ki Daleel: Wo Hadees E Paak Hai Jisme Hazrat Usman RZ 3 Baar Sar Ka Masah Karte Hain Aur Hazrat Usman Ye Bhi Farmate Hain Ke Maine Aisa Hi Dekha Hai Huzur E Paak Saw Ko Wuzu Karte. 

Haqeeqat Me Ye Hadees Zayeef Hai.

Hadees Daleel Button Me Bhi Miljaye Gi.

 

 

Hanafi, Maliki, Hanbali Ki Daleel: Hazrat Ali Ne Wuzu Kiya Phir Usme Aap Ne 1 Baar Sar Ka Masah Kiya Phir Farmaya Ke Ye Hazrat Mohammed SAW Ka Wuzu Hai.

 

 

Wuzu Me Tarteeb Kiya Honi Chahiye?


Yani Pehle Kiya Dhoye, Chahra (Face) Dhoye Ya Haath Dhoye Ya Kiya Dhoye!

Wuzu Me Jism Ke Hisson Ko Quran Ke Matabiq Dhona Sunnat Hai.

Yani Pehle Chahra (Face),

Phir Dono Haath.

Phir Sar Ka Masah.

Uske Baad Dono Paaun.

 

Hanafi Aur Maliki Ke Nazdeek Sunnat Hai.

Shafai Aur Hunbali Ke Nazdeek Farz Hai


Hanafi Aur Maliki Ki Daleel: Hadees E Paak Me Hai Ke Hazrat Mohammed SAW Ne Apne Dono Haath 3 Baar Dhoye Phir Kulli Ki Aur Naak Me Paani Daala Phir Sar Ka Masah Kiya.

Is Hadees Se Maloom Hua Ke Hazrat Mohammed SAW Ne Ek Hi Tarteeb Se Hamesha Wuzu Nahi Kiya Isliye Tarteeb Farz Nahi Ho Sakti, Magar Aap Ne Quran Ke Zikr Karne Wale Wuzu Ke Tareeqay Per Wuzu Kiya Isliye Sunnat Hai.

 




Wuzu Ko Todne Wali Cheezen!


Wuzu Ko Todne Wali Cheezen Wo Hain Jo Urinary Tract (Paishaab Aur Pay-qane Ke Raaste Se Nikle)

Aur Qayeda Hai Ke Agar Koi Naapaki Nikal Kar Zaahiri Hisse Per Aajaye To Isse Wuzu Tut Jata Hai.
Aur Khun (Blood) Aur Pus Nikal Kar Behjaaye Tab Bhi Wuzu Tut Jata Hai. Sirf Zahir Hona Yani Dikhna Kafi Nahi Balke Behna Zaruri Hai Warna Wuzu Nahi Tute Ga.
Aur Munh Bhar Ke Qay🤮 Hojaye Tab Bhi Wuzu Tut Jata Hai, Ye Aisi Qay Ho Jisko Baghair Mahnat Ke Roka Na Jasake.



Ikhtilafaat



Imam Malik: Ke Paas Wo Napaki Ke Nikalne Se Wuzu Tut Jata Hai Jo Har Insaan Ke Badan Se Nikalti Ho ( Jaise: Paishab Aur Payqana).

Inke Paas (Some Blood) Kuch Khoon Ya Peep Ya Kam Qay 🤮 Hone Ki Wajah Se Wuzu Nahi Tut Jaata.

Imam Shafai Ke Nazdeek  Paishaab Aur Pay-qane Se Wuzu Tut Jata Hai Magar Kuch Cases Hain Jin Se Wuzu Nahi Tut Ta Hai.

Khun Se Wuzu Na Tutne Ki Daleel: Ye Hai Ke Hazrat Jabir Rz Se Riwayat Hai Ke Ek Jung Jis Ka Naam (Jung E Zaat Ar Raqaa) Hai, Us Jung Me Hazrat Ibaad Bin Bashar Ko 3 Teer Lage The, Unke Jism Se Khun Beh Raha Tha Aur Wo Isi Haal Me Namaz Padhte Rahe, Aksar Shafai Hazraat Is Waqiye ( Story ) Ko Daleel Mante Hain. 

Jawab: Hazrat Ibaad Rz Namaz Aur Tilawat Ki Lazzat Me Is-qadar Mashghul The  Ke, Aap Per Koi Fiqhi Masla Laagu Nahi Kiya Jasakta Tha.



Ulti (Vomiting) Se Wuzu Na Tut Ne Ki Daleel


Ek Riwayat Hai Hazrat Mohammed Saw Se 👇
Hadees Ke Alfaz: Annahu Sallallahu Alaihi Wa Sallama Qaa Aa Falam Yatawazza 
(Hazrat Mohammed Saw Ko Qay ( Vomiting ) Hui Magar Aap Ne Wuzu Na Kiya).



Jawab:  Jo Riwayat Pesh Ki Gayi Usme Hazrat Mohammed Saw Ko Thodi Si Hi Qay (Vomiting) Hui Thi Isiliye Wuzu Nahi Kiya.

Imam Abu Hanifa Aur Imam Ahmed Bin Hunbal Ke Nazdeek Koi Bhi Najasat Jism Ke Kisi Bhi Hisse Se Nikal Jaye To Wuzu Tut Jayega, Halanke  Sehat Mand Ho Ya Bimar Ho Wuzu Tut Jata Hai.
Is Liye Khun ( Blood ) Ka Bah-padhna Aur Munh 👄 Bharke Qay 🤮 Hona Bhi Wuzu Ko Tod Deta Hai.


Khun Ke Behne Per Wuzu Tut Jane Ki Daleel


Ye Hai Ke Hazrat Mohammed Saw Ka Farman Hai Ke Khun Ke 1 Aur 2 Qatron💦 Me Wuzu Wajib Nahi Hota Yani Ke Wuzu Nahi Tut Jata Magar Khun Behne Wala Ho Tab Wuzu Tut Jata Hai Aur Dobara Wuzu Karna Padta Hai.

Qay (Vomiting)🤮 Agar Munh Bharke Ho Tab Hi Wuzu Tut Jata Hai Ye Riwayat Hazrat Ali Se Naql Ki Gayi Hai Ke Wo Farmate Hain Ke Hazrat Mohammed Saw Ne 7 Cheezen Bataye Jin Se Wuzu Tut Jata Hai, Un 7 Me Se Ek Munh Bharke Qay 🤮 Hona Hai Jisko Insaan Mehnat O Mashaqat Ke Baghair Rokna Sake.



Kitna Sone (Sleeping 😴) Se Wuzu Nahi Jata

 

Agar Koi Karwat Ke Bal Sojaye 😴 Ya Kisi Cheez Ka Sahara Lekar Sojaye, Aur Wo  Cheez Jis Se Wo Sahara Lekar Soraha 😴 Hai Hata Dene Per Wo Gir Jaye Apne Aap Ko Qaabu Me Na Lasake.

Isi Tarah Ki Ek Aur Situation Ye Hosakti Hai Ke Insaan Be-Hosh Hojaye Ya Pagal Hojaye To Aisi Surat Me Bhi Wuzu Tut Jata Hai.

  

Humare Charo Imam ( Hunbali, Shafai, Hanafi Aur Maliki ) Phir Se Ek Saath Hain Is Masle Per.


1. Neend Thodi Le Ya Zyada Agar Us Neend 😴 Ki Wajah Se Wo Gir Jaye Aur Zameen Ko Touch Hone Se Pehle Apne Aap Ko Na Roksake To Wuzu Tut Jayega Warna Nahi. 

Daleel: Hazrat Mohammed SAW Ne Farmaya Ke Jo Aadmi Sajdeh Ki Halat Me Soye😴  To Us Per Wuzu Wajib Nahi Hoga, Balke Wuzu Us Shaks Per Wajib Hai Jo Karwat Lekar Soya Ho Kyunke Uska Jism Dheela Padh Jata Hai Waisa Sone Se. 

Hadees E Paak Me Wuzu Ka Toot Jana (Insaan Ke Gas Nikalne Ke Hisse Ka Bandhan Khulne Per Rakha Gaya Hai Jisko سرین Kehte Hain, Aur Ye Cheez Sirf Badi Lambi Neend Lene Per Hi Hoti Hai Ke Insaan Ko Pata Nahi Chalta Ke Usne Gas Kharij Ki Hai Ya Nahi Isi Liye Wuzu Karna Padhta Hai Aur Agar Muqtasar Si Neend Le Jisme Wo Hosh Me Rahe To Wuzu Karne Ki Zarurat Nahi, Yani Wuzu Nahi Tootega.



Namaz Me Hasne😂 Ke Masail 

Ruku Aur Sajdah Wali Namaz Me Khil Khila Kar Hasna Jisko (Qah Qaha) 😂 Kehte Hain. 

3 Qism Ki Hansi Hoti Hai 

1. Qah Qaha: Ye Wo Hansi 🤣hai Jiski Awaz Hansne Wala Bhi Aur Qareeb Ke Log Bhi Sun Sake Aur Munh👄 Bohat Zyada Khul Jaye. 

2. Zihk: Ye Aisi Hansi Hai Jis Ko Paas Ka Aadmi Na Sun👂 Sake Aur Munh Se  Daant 😁 Dikhne Lagen.

3. Tabassum: Is Me Awaz Bilkul Nahi Hoti, Isko Hum Muskurana Kehte Hain 😊.

  

Tabassum: Agar Ye Namaz Me Hojaye To Namaz Nahi Tootegi.

Zihk: Agar Ye Namaz Me Hojaye To Namaz Toot Jayegi.

Qah Qaha: Agar Ye Namaz Me Hojaye To Namaz Bhi Toot Jayegi Aur Wuzu Bhi Toot Jayega.

  

Note: { Dhyan Rakhe Ki Ye Sab Ek Baligh Insaan Se Hon Tabhi Tootega Chote Bache Jin Per Namaz Wajib Hi Nahi Hui Unka In Masail Se Kuch Talluq Nahi}.

 


Imam Malik, Imam Shafai Aur Imam Ahmed Ke Nazdeek Agar Baligh Insaan Bhi Namaz Me Qah-Qaha Laga Kar Hanse To Wuzu Nahi Tootega. 

Daleel: Ye 3 Imam Kehte Hain Ke Qah-Qaha Me Najasat Nahi Nikalti Aur Najasat Ka Nikalna Hi Wuzu Ko Todta Hai.

 

Jawab: Qah-Qaha Lagane Se Wuzu Toot Jata Hai Is Baat Per 6 Sahaba Ki Riwayat Hain Is Liye Aqal Yani (Qiyas) Se Kaam Nahi Liya Jayega.{Maloom To Sabko Hai Ke Qiyas Yani Aqal Se Pehle Ijmaa Hai Yani Sahaba Me Agar Kisi Masle Ka Hal Na Mile Tab Hi Qiyas Yani Aqal Se Kaam Liya Jayega}.

 

 

Hanafi Ki Daleel Qah-Qaha Per Ke Isse Wuzu Toot Jata Hai

Hadees E Paak: Hazrat Mohammed SAW Namaz Padha Rahe The Ke Ek Kam Nazar Aadmi Aaya Aur Wahan Ek Gaddha 🕳️ Tha Jisme Khajoor Ka Kuch Saman Tha Usme Gir Gaya, To Kuch Log Aap Ke Piche Hans Padhe, Hazrat Mohammed SAW Ne Apni Namaz Mukammal Karane Ke Baad Farmaya Tum Me Se Jisne Qah-Qaha Lagaya Hai Wo Wuzu Karke Namaz Dobara Padhe, Aur Jo Muskuraya Hai Us Per Kuch Nahi.

 

Zihk Ke Bare Me Hadees E Paak: Hazrat Mohammed SAW Ne Farmaya Ke Hansna Namaz Ko Tod Deta Hai Wuzu Ko Nahi.


 


Ghusl {Islam Me Nahan e Ke Masail}


 

Ghusl Me 3 Farz Hain Yani 3 (Mandatory) Hain

1. Kulli Karna. (Saare Munh Me Paani Pohanch Jaye)

2. Naak Me Paani Dalna. (Jahan Tak Naak Naram Ho)

3. Aur Tamam Badan Per Paani Bahana.

 

Ghusl Karne Ka Sunnat Tareeqa: 

Ghusl Karne Wala Apne Dono Haath Gaton (Wrist) Tak Dhoye Aur Sharamgaah Ko Dhoye Aur Agar Najasat Uske Badan Per Jahan Bhi  Lagi Ho Usko Dur Kare Phir Wuzu Kare, Aur Choki Ya Pathar Per Baith Ker Wuzu Karta Ho To Paaun Bhi Dhole Ya Agar Aisi Jagah Ho Ke Ghusl Karne Ke Baad Phir Paaun Dhone Padhenge To Aisi Halat Me Wuzu Kare Magar Aakhir Me Paaun Na Dhoye Phir Paani Bahaye Apne Sar Per Aur Tamam Jism Per 3 Martaba Uske Baad Us Jagah Se Hat Jaye Aur Paak Jagah Per Aajaye Phir Apne Dono Paaun Dhoye.

 

  

Aurat Ke Sar Ke Baal

  

Agar Aurat Ke Baal Bandhe Na Hon To Sab Baal Bhigona Aur Saare Baal Ki Jadon Tak Paani Pohanchana Farz Hai Ek Baal Bhi Sukha Reh Jaye Ya Ek Jad Me Bhi Paani Na Pohanche To Ghusl Na Hoga,

Aur Agar Baal Bandhe Hue Hon To Baalon Ko Bhigona Muaaf Hai Sirf Baal Ki Jadon Tak Paani Pohanchana Farz Hai.

Ek Jad Bhi Sukhi Na Rah Jaye Agar Baghair Khole Sab Baalon Ki Jadon Tak Paani Na Pohanche To Baalon Ko Khol Dalen Aur Baalon Ko Bhi Bhigoden.



Ghusl Wajib Kab Hota Hai


Wajib Matlab (Obligatory) Laazmi Tor Per Kab Karna Hoga. 

1. Shah-Wat Ke Saath (Mani: Semen/Sperm) Ka Nikalna. 

English: {Ejection Of Semen With Lust}.

Mard Se Nikle Ya Aurat Se Neend😴 Ki Halat Me Ho Ya Be-Dari😲 Ki Halat Me, Agar Ye Hojaye To Ghusl Wajib Hoga. 

Arabic Me Ise (Mani منی)💦Kehte Hain, Akabireen Isko Khud Khule Andaz Me  Farmarahe Hain Ke Ye Kaisa Hota Hai. 

 

(Waise To Aapko Daleel Button Me Kitab Ke Paper Ka Screenshot Dediya Jayega)

 

💦(Mani منی) Kise Kehte Hain: Mani Ya Semen Us Cheez Ko Kehte Hain Jo Sufaid Aur Gaadha Hota Hai Iske Nikalne Par Insaan Ki Khwahish Khatam Hoti Hai Aur Ye Insaan Ki Sharamgaah Se Nikalta Hai

 

Imam Shafai Aur Imam Malik Ke Nazdeek ( Mani /Semen ) Ke Nikalne Per Ghusl Wajib Hoga, Shah-Wat Ke Saath Nikle Ya Shah-Wat Ke Baghair. 

Daleel: Huzur E Paak SAW Ne Farmaya Ghusl Mani💦Se Wajib Hota Hai, (Almaa U Minal Maai).

 

Hanafi Ki Daleel: Ghusl Us Waqt Wajib Hoga Jab (Mani / Semen) Uchal Kar Shah-Wat Ke Saath Nikle.

Daleel: Quran: (Wa In Kuntum Junuban Fatt-Tahharu) Ye Aayat E Kareema Me Jo Lafz (Junuban) Aaya Hai Uska Matlab Arabic Dictionary Me Shah-Wat Ke Saath Mani Nakalne Ko Kehte Hain Isliye Khwahish Ke Saath Insaan Ki Mani Nikalne Per Ghusl Wajib Hoga.

 

 

 

 

Aapas Me Milan

 

Jab Mard Ki Sharamgaah Aurat Ki Sharamgaah Me Dakhil Ho Jaye Magar (Mani منی) Na Nikle Tab Bhi Ghusl Wajib Hoga.

Isi Tarah Aurat Ko Bhi Jab Uska Haiz Ka Khun 🩸 (Menstrual Bleeding) Ruk Jaye Yani Mahawari Ke Din Khatam Hojaye To Ghusl Karna Farz Hai.

Aur Nifaas (Postpartum Bleeding) Ka  Khun 🩸 Rukne Per Bhi Ghusl Karna Aurat Ke Liye Farz Hai.

 

🩸Haiz: Wo Khun Hai Jab Ladki Baligh Hoti Hai To Use Aana Shuru Hojata Hai.

🩸 Nifaas: Wo Khun Jo Aurat Ko Bache Ki Paidaish Per Aata Hai.

  

Shohar (Husband) Agar Biwi Ki Sharamgaah Me Apni Sharamgaah Dale Magar (Mani منی / Semen) Na Nikle To Bhi Ghusl Wajib Hojata Hai, Is Baar Bhi Humare 4 Imam (Hanafi, Shafai, Maliki, Hunbali) Ek Saath Hain. 

Daleel: Hadees E Paak Me Aata Hai Hai Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Jab Mard Aur Aurat Ke Sharamgaah Ek Dusre Se Miljaye To Ghusl Wajib Hojata Hai, Chaahe (Mani منی / Semen) Nikle Ya Na Nikle.

 

 

 

Ghusl Sunnat Kab Hai?

 

Nabi Kareem SAW Ne Sunnat Banadiya Hai Ghusl Ko Juma Ke Din, Eid Ke Din, Ahraam Aur Arafah Ke Din.


Juma: Is Din Namaz E Fajr Ke Baad Juma Tak Unlogon Ka Ghusl Karna Sunnat Hai, Jinper Namaz E Juma Wajib Hai.


☪︎ Eid: Is Din Bhi Fajr Ke Baad Unlogon Ka Ghusl Karna Sunnat Hai Jinper Eid Ki Namaz Wajib Hai.


🕋Hajj Aur 🕌Umrah Ke Ahraam Ke Liye Ghusl Karna Sunnat Hai.


Arafah Ke Din Yani (9 Zul Hijjah) Ko Zohar Ke Waqt Se Thoda Pehle Jisko (Zawal) Kehte Hain Ghusl Karna Ek Haaji Ke Liye Sunnat Hai.

 

(Hanafi, Shafai, Maliki Aur Hunbali) Phir Se Ek Saath Hain Is Masle Me Bhi.

Daleel: Hadees E Paak Me Aaya Hai Ke Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Jo Koi Juma Ke Din Wuzu Karega To Wo Wuzu Uske Liye Kaafi Hoga, Aur Jo Koi Ghusl Karega To Wo Ghusl Uske Liye Ziyada Afzal Hai Aur Sawab Ka Zariya Hai.

[Is Hadees Se Maloom Hua Ke Juma Ke Din Ghusl Karna Farz Ya Wajib Nahi Balke Sunnat Ya Mustahab Hai Aur Hazrat Ali RZ Se Ye Baat Sabit Hai Ke Wo Farmate Hain Juma Ke Din Ghusl Karna Sunnat Aur Mustahab Hai Wajib Nahi].

 




Mazi Aur Wadi


 Ye Do Aisi Cheezen Hain Jinke Nikalne Per Ghusl Wajib Nahi Hota Lekin Wuzu Wajib Hota Hai. 

Ab Ye Dono Kiya Hain: 

Mazi: Wo Patla Paani Jo Mani Se Pehle Nikalta Hai.

Wadi: Ye Ek Qudrati Ya Jismani Bimari Ki Halat Hai, Aksar Paishab Ke Baad Ya Paishab Se Pehle Nikalti Hai, Aur Iske Nikalne Me Bhi Koi Ahsaas Nahi Hota.

 

 

Napaki💩 Ko Kaise Dur Kare?

 

Islam Me Hadas (Napaki) Ko In Paaniyon🌊 Ke Zariye Dur Karna Jayez (Legal)  Hai👇.

  

Paani: Baarish (Rain) Ka Pani, Wadiyon (Valley) Ka Pani, Chashmon (Fountain) Ka Pani, Kunwe (Well) Ka Pani, Samandar (Sea Water).


Daleel: Allah Kehta Hai: Ham Ne Aasman Se Paak Pani Barsaya.


Samandar Ke Pani Per Huzur E Paak SAW Ki Hadees E Paak Ye Hai Ke Aap SAW Ne Farmaya Ke Uska Pani Paak Hai Aur Uska Murdar (Yani Pani Ka Janwar Jo Usi Samandar Me Marjaye Insaan Ke Marne Se Pehle To Bhi Wo Halal Hoga).

 

Chashmon Aur Kunwen Aur Vadiyon Ke Pani Ke Paak Hone Ki Daleel Bhi Quran Me Hai.

Allah Farmata Hai: Kiya Aap Ne Nahi Dekha Ke Allah Ne Utara Aasman Se Pani Ko Phir Chalaya Wo Pani Chashmon Me Zameen Ke.

 

Thode Deep Masail 👇


╰┈➤ Kisi Darakht🌲 (Tree) Ya Phal 🍑 (Fruits)  Ya Patton 🌿 (Leaf) Ke Nichode Hue Liquid Se Wuzu Aur Ghusl Durust (Sahi) Nahi Isi Tarah Jo Pani Tarbooz Se Nikalta Hai Ya Ganne (Sugar Cane) Waghaira Se To Aise Pani Se Bhi Wuzu Aur Ghusl Durust (Sahi) Nahi.


╰┈➤ Aur Jis Pani Me Koi Cheez Mil Gayi Ho Ya Usme Koi Cheez Pakayi Gayi Ho Aur Aisa Ho Gaya Ho Ke Bol Chaal Me Usko Pani Nahi Kehte 

Jaise: Sharbat, Shorba, Ya Chai ☕ Ya Gulab Ka Ras To Aisi Cheezon Se Bhi Wuzu Aur Ghusl Jayez (Legal) Nahi.

 

Ausaaf Kiya Hain?

➢ Dekhiye Pani Me 3 Cheezen Hoti Hai Jinko (Wasf Ya Ausaaf) Kehte Hain Inka Matlab Hai Pani Ka (Rang, Bu, Mazah) English Me Bhi Padh Lijiye Pani Ke Ausaaf: (Color, Smell, Taste) In Me Se Agar Ek Bhi Wasf Badal Jaye Napaki Ki Wajeh Se To Us Pani Se Wuzu Ya Ghusl Sahi Nahi Hoga, Han Agar Koi Paak Cheez Pani Me Aagayi Ho Aur Pani Ke Rang Me Ya Maze (Taste) Me Ya Bu (Smell) Me Farq Aagaya Ho Magar Pani Ka Patla Pan Baaqi Rahe Aur Wo Pani Ke Saath Pakaya Na Jaye.

Jaise: Behte Hue Pani (Flowing Water) Me Kuch Mitthi (Sand) Mili Hui Ho Ya Pani Me Zaafran Mil Gaya Ho Aur Uska Bohat Halka Sa Rang Pad Gaya Ho To Aise Pani Se Wuzu Aur Ghusl Sahi Hai.

 

➢ Aur Har Aisa Pani Jo Ruka Hua Ho Agar Usme Koi Napaki Gir Jaye To Us Pani Se Wuzu Jayez (Legal) Nahi Kyunke Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Tum Me Se Koi Bhi Ruke Hue Pani Me Paishab (Urine) Na Kare Aur Na Usme Ghusl Kare Aur Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Tum Me Se Agar Koi Neend😴 Se Uthe To Apna Haath Bartan Me Na Daale Jab Tak 3 Baar  Haath Dhole Kyunke Usko Nahi Maloom Ke Raat Bhar Uske Haath Kahan Kahan Lage.

 

➢ Lekin Agar Pani Beh-Raha Ho To Us Pani Se Wuzu Jayez Hai Jab Tak Ke Us Pani Per Gandagi Ka Asar Na Dikhe, Kyunke Najasat (Gandagi) Nahi Ruk Sakti Pani Ke Bahaaw Ke Sath. Aur Bada Talaab (Pond) Wo Hai Jiski Ek Taraf Harkat Dene Se Dusri Taraf Ka Pani Na Hale Aise Me 1 Taraf Gandagi Gir Jaye To Dusri Taraf Se Wuzu Karna Jayez Hai.

 

 

Thoda Aur Asan Alfaz Me Samjhiye:👇

 

 

Jis Pani Me Gandagi💩 Girjaye To Aise Pani Se Wuzu Aur Ghusl Nahi Karsakte, Chaahey Wo Ruka Hua Pani🌊 Thoda Ho Ya Zyada. Han Agar Behta Pani Ho Aur Us Me Gandagi 💩 Girjaye To Wuzu Aur Ghusl Kiya Jasakta Hai Isliye Ke Behta Pani Gandagi Ko Baha Kar Lejata Hai. Behta Pani Ganda Nahi Hota Jab Tak Uska Mazah (Taste) Ya Bu (Smell 👃) Ya Rang (Color 🌈) Badal Na Jaye Warna Wo Bhi Napak Pani Samjha Jayega.

 

🔍Chaliye Ab Humare Imam Ke Ikhtilafaat Dekhte Hain Aur Unki Daleel Bhi Jaante Hain

 

💡Imam Malik Ka Kehna Hai Ke Pani Me Gandagi 💩 Girne Par Pani Napak Nahi Hota Jab Tak Uski 3 Cheezon (Rang, Bu, Mazah | Color, Smell, Taste) Me Se Ek Bhi Cheez Badal Na Jaaye. Pani Zyada Ho Ya Thoda Farq Nahi Padhta.

Imam Malik Daleel Ye Dete Hain:👇

Imam Malik Ki Daleel: Huzur E Paak SAW Ne Farmaya Ke Pani Paak Hai Koi Cheez Usko Napak Nahi Karti. 

Ab Hanafi Kiya Kehte Hain Suniye👇


Jawab: Wo Hadees Ek (Bizaa) Naam Ka Kunwa Tha Jisko (بئر بضاعہ) Kehte Hain, Aur Us Kunwe (Well) Ka Pani Baaghon🌲 Me Jata Tha.


(Shafai, Hanafi, Hunbali) Ki Daleel👇

Ye 3 Imam Kehte Hain Ke Agar Pani 💦 Thoda Hai Aur Usme Gandagi 💩 Girjaye To Napak Hojata Hai Chaahey Uska (Rang, Bu, Mazah | Color, Smell, Taste) Badle Ya Na Badle, Agar Zyada Pani Me Najasat Girjaye To Ye Pani 🌊 Us Waqt Napak (Ganda) Hoga Jab Ye Pani Ka (Rang, Bu, Mazah | Color, Smell, Taste) Badal Jaye Sirf Gandagi Ke Girne Per Pani Ganda Nahi Hoga.

 

 

⚡Doston Yahan Tak To Humare 3 Imam Ek Saath The Magar Aage Ek Aisa Modh Hai Aur Wo Modh Ye Hai👇

3 Imam Is Masle Me Thode Alag Alag Hain Ke Kitna Pani Thoda (Qaleel) Maana Jayega Aur Kitna Paani Zyada (Kasir) Maana Jayega.


Shafai Aur Hunbali Ke Nazdeek Agar Paani Do Matkon (2 Water Pot) Ke Barabar Ho Ya Usse Zyada Ho Tab Hi Zyada Pani🌊 (Kasir) Maana Jayega, Agar Isse Kam Ho To (Qaleel) Maana Jayega.


⚠️ Hanafi Me 3 Fatwe Hain Magar Aaj Ke Zamane Ke Logon Ki Asani Ke Liye  Ulama Ne Imam Mohammed Jo Abu Hanifa Ke Student Hain Unke Kehne Ko Mana Hai.

 

1. Hanafi Ke Nazdeek Pani 🌊 Ki Miqdar (Quantity) Nahi Hai Balke Raaye (Opinion) Hai, Misal Ke Tor Per Agar Koi Wuzu Karraha Hai Aur Usme Gandagi Girjaye To Ye Hanafi Follower Dekhega Apne Khud Ke Zehan Se Ke Ye Gandagi Ka Asar Dusri Taraf Pohanch Sakta Hai Ya Nahi Agar Uska Brain 🧠 Ye Signals Zyada De Ke Gandagi Nahi Gayi Hogi Ustaraf To Wuzu Banale Wo Zyada Paani (Kasir) Kaha Jayega Yani Ek Hanafi Follower Ko Apni Aqal Se Sochna Hai Agar Uska Dimag Kahe Ke Gandagi 💩 Dusri Taraf Bhi Aachuki Hai To Phir Wo Paani Thoda Yani (Qaleel) Maana Jayega.


2. Imam Mohammed Ke Mutabiq Hanafi Rule Ye Hai Ke Dah Dar Dah Yani 10 Gaz Chauda Aur 10 Gaz Lamba (5.079 Meter Width & 5.079 Meter Height) Itna Agar Paani Ka Hauz Hai Ya Isse Zyada To Aab E Kasir Yani (Zyada Paani) Mana Jayega Warna Aab E Qaleel (Thoda Pani) Mana Jayega.

 

3. Agar Paani Ke Hauz Me Ek Taraf Haath Daale To Uski Opposite Direction Me Paani Agar Halna Shuru Kare To Wo Thoda Paani (Qaleel) Samjha Jayega Aur Agar Haath Se Ya Kisi Aur Cheez Se Hauz Ki Ek Taraf Harkat Karne Per Dusri Taraf Ka Pani Harkat Na Ho To Zyada Pani (Kasir) Samjha Jayega.

  

📚 Shafai Aur Hunbali Ki Daleel: Sahaba Ne Huzur E Paak SAW Se Pani Ke Baare Me Sawal Kiya Jisme Darinde 🐺 Waghaira Moonh 👄 Daala Karte The To Huzur E Paak SAW Ne Jawab Me Farmaya Pani 2 Matkon Ke Barabar Ho To Ganda Nahi Hota.


Hanafi Ka Jawab: Ye Hadees E Paak Ke Baare Ulama Ne Batlaya Hai Ke Is Hadees Me Kuch Kharabi Hai Jisko Hadees Ki Padhai Me (Izterab) Kehte Hain. 

Kayi Qism Ke Matke Hote Hain Jo Dhaayi (2.5) Ke Barabar Bhi Hote Hain Aur Kuch 3 Matkon Ke Barabar Hote Hain, To Ab Baat Ye Aati Hai Ke 2 Matkon Se Muraad Kitni Miqdar (Qty) Wale Matke Liye Jayenge?

 

Hanafi Ki Daleel: Huzur E Paak SAW Ne Ruke Hue  Pani 🌊 Me Paishab (Urine) Karne Se Roka Aur Usse Ghusl Karne Se Bhi, Agar Pani Ganda Nahi Hota To Usme Paishab Karne Se Kyu Rokte💀 

Hanafi Ki Dusri Daleel Huzur E Paak SAW Ne Farmaya Ke Tum Me Se Koi Apni Neend Se Uthe To Haath ✋ Na Daale Pani Me Jab Tak Usko 3 Baar Dhole, Yahan Per To Sirf Daalne Se Pani Napak Horaha Hai Agar Najasat (Gandagi) Girjaye To Kaise Napak Nahi Hoga.💀

 

  

Pani Me Jaanwar Girne Ka Masla!


Agar Pani Me Aisa Jaanwar Marjaye Ya Bahar Marke Pani Me Girjaye Jis Ke Andar Behta Hua Khun🩸 Nahi Hota.

Jaise: Machar 🦟 (Mosquito), Makhi 🪰 (Bee), Bichu 🦂 (Scorpion), Shahad Ki Makhi 🐝 (Honey Bee), Bhad Jisko English Me (Wasp) Kehte Hain Aur In Jaise Hi Jinme Behta Khun🩸 Na Ho Agar Aise Jaanwar Girke Pani Me Marjaye To Pani Napak Nahi Hota.


💡Hanafi Aur Shafai Is Masle Me Ek Saath Hain Dono Ki Daleel👇

Daleel: Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Jis Kisi Bartan Me Makhi 🪰 Girjaye To Pehle Usko Pura Usi Bartan Me Dubado Isliye Ke Uske Ek Par🪶 Me Dawa💊 Aur Dusre Par🪶 Me Bimari 🤒 Hoti Hai Aur Wo Jaan Bujh Kar Bimari🤢 Wala Par Hi Dubati Hai.

 

✔ Is Hadees Me Nabi Kareem SAW Ne Makhi 🪰 Ko Dubane Ka Hukm Diya Hai Agar Napaki  Hoti To Nabi Kareem SAW Hargiz Aisa Hukm Nahi Dete.


 

 

 

Pani Ke Janwaron Ke Masail


➤ Jis Jaanwar Ki Paidaish (Birth) Pani Me Ho Ya Har Waqt Pani Me Rehta Ho To Uske Marjane (Died🪦) Se Pani Kharab Nahi Hoga.

Jaise: Machli (Fish 🐠), Mainduk (Frog🐸), Kachwa (Turtle🐢) Waghaira.

 

Imam Shafai Kehte Hain Ke: Agar Machli Pani Me Marjaye To Pani Napak Nhi Hota Lekin Pani Ke Dusre Janwar Agar Pani Hi Me Marjaye To Pani Napak Hojata Hai.

 

📝 Daleel: (حرمت علیکم المیتۃ)[ Paara: 6, Ayat: 3]

Daleel Ka Matlab: Allah Farmata Hai Ke Tum Per Mare Hue Janwar Haram Kiye Gaye Hain.

 

Aur Imam Shafai Kehte Hain Ke Kisi Cheez Ke Haram Hone Ke Liye Uska Napak Hona Zaruri Hai

 

Hanafi Ka Jawab: Haram Hone Ke Liye Kisi Cheez Ka Napak Hona Zaruri Nahi Kyunke Mitthi (Sand) Khana Haram Hai Magar Mitthi Napak Nahi Hoti Paak Hoti Hai. 

Hanafi Ki Daleel: Khun🩸 Dhoop ☀️ Me Kaala Hojata Hai Aur In Pani Ke Jaanwaron Me Jo Gandagi Beh-Kar Nikalti Hai Wo Dhoop ☀️ Me Sufaid (White) Hojati Hai.

Maloom Hua Ke Un Jaanwaron Me Beh-Ne Wala Khun🩸 Nahi Hai Aur Khun Hi Ganda Hota Hai Jo Napak Karta Hai, To Jab Khun Nahi Hai To Uske Pani Me Marne Se Pani Napaak Nahi Hoga.

 

 

 

 

Istemal Kiya Gaya Pani🌊 (Used Water)

 

💡 Paani Jab Istemal Hojata Hai To Wo Kab Paak Aur Kab Napak Hota Hai👇

➤ Jo Pani 1 Baar Istemal Kiya Jaye Wuzu Me To Phir Usi Pani Se Dubara Wuzu Nahi Kiya Jasakta, Allah Ke Qareeb Hone Ke Liye Phir Usi Paani Se Wuzu Ya Ghusl Nahi Hosakta Hai.

 

➤ Agar Pani 🌊  Paak Cheezen Dhone Ke Liye Istemal Ho.

Jaise: Khet Ke Sabjiyan🥦 Ya Paak Kapdon👕 Ko Dhoya Hua Pani, Ye Paak Hai.


➤ Jo Pani Haqiqi Gandagi 💩 Ke Liye Istemal Kiya Gaya Ho Ya Gandagi Wale Kapdon (Clothes👕) Ko Dhoya Hua Pani Ho To Wo Napak Paani Mana Jayega.

 

🚨 Dhiyan Se Padhiye: Jis Pani 🌊 Ke Zariye Insaan Taharat Le Paishab Dhoye Ya Paaqaana 💩 Dhoye, Ya Sharamgaah Me Se (Mani Semen) Nikalne Per Ya Ahtelam (Night Fall) Ya Biwi Se Legal Sex Karne Ke Baad Ka Ghusl Karne Per Jo Pani In Sab Gandagion 💩 Ko Dhone Me Istemal Hua Hai, Wo Istemal Kiya Hua Pani Paak Hai Ya Napak Hai Is Baare Me 2 Maslak Hain.

 

➤ Imam Malik Aur Imam Shafai Ye Kehte Hain Ke Istemal Kiya Gaya Pani Paak Hai Aur Dobara Uspani Se Insaan Paak Hosakta Hai.💀

 

📚 Daleel: Allah Ne Farmaya (و انزلنا من السماء ماء طہور) Tarjuma: Allah Ne Aasman Se Paak Pani Utara Hai.

➤ Ye 2 Imam Ek Qayeda Istemal Karte Hai Jiska Naam Hai (Mubaligha) Jiska Matlab Hai (Baar Baar) Isliye Wo Kehte Hain Ke (Tahur, طہور) Ka Matlab Hua Baar Baar Paaki Hasil Karane Wala Isi Qayeda Ko Lekar Wo Kehte Hain Ke Paani Baar Baar Paak Karne Wala Hai.


Hanafi Ka Jawab: (Tahur, طہور) Us Cheez Ko Kehte Hain Jis Se Paaki Mile Ye Waisa Hi Hai Jaise (Sahur سحور) Iska Matlab Wo Khana🥪 Jo Subah Hone Se Thodi Der Pehle Khaya Jaye, Ye Nahi Ke Baar Baar Khaana Khaya Jaye.

 

Imam Ahmed Aur Imam Abu Hanifa Yani (Hanafi Aur Hunbali) Ka Kehna Ye Hai Ke (Maa E Mustamil ماء مستعمل Istemal Kiya Hua Pani 🌊) Paak To Hai Magar Paak Nahi Karsakta.


➤ Istemal Kiye Jane Wale Pani (Used Water) Ke Paak Hone Ki Daleel: Sahaba Apne Kapdon (Clothes 👕) Aur Bartano (Utensil 🍲 🍯) Aur Apne Jism Ko Istemal Kiye Hue Pani Ke Lagne Se Bachate Nahi The Aur Agar Pani Kahin Lagjata To Dhote Bhi Nahi The. 

➤ Istemal Shuda Pani (Used Water) Ke Paak Na Karne Ki Daleel: Nabi Kareem SAW Aur Aap Ke Sahaba Ko Safar Karte Waqt Paani Ki Bohat Zyada Zarurat Hoti Thi Aur Wahan Per (Maa E Mustamil Used Water 🌊) Ke Siwa Dusra Pani Nahi Hota Tha Magar Sahab Kabhi Bhi Apna Wuzu (Used Water) Se Nahi Karte The Aur Nabi Kareem SAW Ne Bhi Kabhi (Used Water 🌊) Ko Collect Karne Ka Hukm Diya.

 

 

 

 

 

 

Jaanwar Ki Khaal (Animal Hide)

 

 

Jaanwar Ki Khaal  Dhoop ☀️ Me Sukhane Se Sahi Hojati Hai. Han Aise Libaas Ko Pehan Kar Insaan Namaz Padh Sakta Hai.


⚠️ Khaal Ki Badbu😷 Aur Uski Gandagi Dur Karne Ka Jo Process Hota Hai Usko (Dabaghat) Kehte Hain. Ab Ye 2 Tarah Ke Saaf Karne Ke Tarike Hote Hain.


1. Babul Ke Patte (Acacia Leaves 🌿) Namak (Salt 🧂) Anar Ke Chilke (Pomegranate Peels) Waghaira Se Khaal Ki Badbu Ko Dur Kiya Jata Hai.


2. Dhoop ☀️ Me Sukha Kar Ya Hawa Me Rakh Kar Ya Mitthi Se Ragad Kar Badbu Ko Dur Kiya Jata Hai.

 

➤ Ye Do Tariqon Se Khaal Ko Saaf Karne Ke Baad Khaal Saaf Ho Jaye Gi Ya Nahi Is Baare Me 3 Maslak Hain.


Hunbali Aur Imam Malik Ke Nazdeek Murdar Janwar (Died Animals) Ki Khaal Ko In Tariqon Se Paak O Saaf Nahi Kiya Jasakta.


Daleel: Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Murdar Janwar (Died Animal) Ki Khaal Aur Uski Ragon (Tendon) Se Fayeda (Benefits) Mat Lo.


📄 Hanafi Ka Jawab: Is Hadees Me Aap SAW Ne Khaal Ko Saaf Kare Baghair Usse Fayeda (Benefits) Mat Uthao Kaha Hai, Kyunke (باھاب) Ye Lafz Hadees Me Istemal Kiya Gaya Hai Aur Is Lafz Ka Matlab Hai Ke Aisi Khaal Jisko Paak Na Kiya Gaya Hai (Dirty Hide/Skin Of An Animal).

 

➤ Ek Aur Hadees Hai Jisme Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Khaal Ko Saaf Karne Ke Baad Khaal Paak Hojati Hai.


Imam Shafai Ke Nazdeek Kutte (Dog 🐶) Ki Khaal Saaf Karne Ke Baad Bhi Paak Nahi Hoti, Uper Jaisa Humne Aapko Batadiya Hai Kaise Khaal Ko Islamic Tarike Se Saaf Kiya Jata Hai Wo 2 Tariqe Hain Magar Un 2 Tariqon Se Bhi Kutte (Dog 🐶) Ki Khaal Paak Nahi Hoti.

 

Qiyas Ke Zariye Di Gayi Daleel: Jis Tarah Khinzir (Pig 🐖) Ki Khaal Saaf Karne Ke Baad Bhi Paak Nahi Hoti (Islam Ki Nazar Me) Usi Tarah Kutte (Dog 🐶) Ki Bhi Paak Nahi Hosakti.

 

Hanafi Ka Jawab: Kutte (Dog 🐶) Ki Khaal Ko Suwar (Pig 🐖) Ki Khaal  Per Qiyas (Aqal) Se Nahi Socha Jasakta Hai.

Kyunke Kutta🐶 (Najas Al Ain / Essential Impurity) Yani Asal Napak Hona, Ya Fitratan Napak Hona, Kutta To Pura Napak Nahi Hai.

 

Hanafi Ke Nazdeek Insaan🧍ki Khaal Aur Suar🐖 Ki Khaal Hi Napak Hai Jis Ka Istemal Saaf Karne Ke Baad Bhi Nahi Liya Jasakta Hai. Inke Siwa Baqi Jaanwaron Ki Khaal Ko Saaf Karne Ke Baad Istemal Kiya Jasakta Hai.


Daleel:  Nabi Kareem SAW Ek Mishkize (Leather Water Bag) Se Wuzu Kar Rahe The Ke Aapko Batlaya Gaya Ke Ye Murda Janwar Ki Khaal Ka Hai To Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke (Dabaghat) Se Yani Khaal Ko Saaf Karne Se Khaal Paak Hojati Hai.

 

💡 Khaal Ko Islam Me Paak Kaise Karte Hai Wo Uper Batadiya Gaya Hai.

 

 

 


Murdar Ke Baal (Died Animal Hairs)

 

 

Murdar Ke Baal, Daant🦷, Haddi🦴, Seengh (Antlers🦌) Paak Hain Agar Pani Me Girjaye To Pani Napak Nahi Hoga.

Han Agar Haddi🦴 Daant🦷 Per Us Mare Hue Janwar Ki Chiknayi Lagi Hui Ho To Wo Napak Hai Aur Pani Me Gir Jaye To Pani Bhi Napak Hojayega.


Insaan Ki Haddi🦴 Aur Baal (Hair & Bone) Paak Hain Lekin Unse Fayeda Uthana Aur Kaam Me Lena Jayez Nahi (Illegal) Hai Islam Me.

  

💡Humare Imam Kiya Kehte Hain Dekhte Hain Chaliye.

 

Imam Shafai Ke Nazdeek Uper Jo Jo Bhi Batlaya Gaya Hai Sab Napak Hai. 

Daleel: Wahi Jo Pehle Batachuke (حرمت علیکم المیتۃ) Yani Tumhare Liye Murdar Haram Hai.


Hanafi Ka Jawab: Murdar Usko Kehte Hain Jo Zibah Kiye Baghair Marjaye Aur Ye Uski Cheezen Hai Jinme Hayat Nahi Hoti Isliye Uski Cheezen Jaise Daant 🦷 Aur Seengh Aur Baal Waghaira Murdar Nahi Hote Kyunke Agar Unme Se Kisi Cheez Ko Kata 🗡️ Jaye To Wo Janwar Koi Takleef Mahsoos Nahi Karta.

 

 



Kunwen Me Gandagi 💩 Ka Girna


(Water Well) Kunwen Me Jab Koi Gandagi 💩 Girjaye To Us Gandgi Ko Nikaalne Se Aur Kuwen Ke Pani Ko Nikaalne Se Kuwan Paak Ho Jata Hai, Pani Jab Tak Nikaalen Ke Bucket Dalen To Aadhi Hi Bhar Kar Wapas Aaye, Kuwen Ke Andar Deewar🧱  Ya Kuwen Ki Rassi (Rope 🪢) Aur Balti Yani (Bucket 🪣) Ko Dhone Ki Zarurat Nahi.

 

 

Konse Janwar Per Kitna Pani 🌊 Nikala Jaye Ga?

 

🔴 Paani Nikalne Ka Tariqa Ye Hai Ke Pehle Us Jaanwar Ya Najasat Ko Nikalden Phir Pani Ko Nikalna Shur Karen, Agar Bucket Badi Ho To 20 Bucket Pani Nikalo Aur Choti Ho To 30 Bucket Pani Nikalo.

 

Agar Pani Me (Chuha 🐁) Ya (Chidya 🕊️) Ya (Chipkali 🦎) Gir Ker Marjaye Magar Phoole Phate (Swell & Burst) Naho, To Kunwen Se 20-30 Dol (Bucket 🪣 )  Pani 🌊 Nikalde. (Wajib & Mustahab Hai)

 

💡Dol Us Bucket 🪣 Ko Kehte Hain Jo Na Bohat Badi Ho Aur Na Bohat Choti Bas Medium Level Ki Ho, Aksar Dekha Jaye To 1 Dol Me (4.5 Ltr Se 5 Ltr) Tak Pani 🌊 Aajata Hai, 1 Chuhe 🐁 Se Lekar 4 Chuhe 🐁 Tak Yahi Hukm Hai, Aur Agar 5 Se 9 Chuhe 🐁 Girjaye To 40 Bucket 🪣 Pani 🌊 Nikalde, Aur Agar 10 Chuhe🐁 Gir Jaaye To Pura Pani Nikalden.


📚 Daleel: Hazrat Anas RZ Ne Chuhe Ke Girke Marne Per 20 Bucket Pani Nikalne Ka Hukm Diya Aur Hazrat Ibn E Abbas RZ  Ne 30 Bucket 🪣 Pani Nikalne Ka Hukm Diya. 


🌟 Aur Agar Pani Mein Murgi (🐓hen), Billi (Cat 😺), Ya Kabutar (Pigeon 🐦) Gir Kar Mar Jaaye To 40-50 Bucket 🪣 Pani Nikalden, Agar Inke Hi Size Ka Koi Aur Janwar Gir Ke Marjaye Ya Markar Gir Jaaye To 40 Bucket Pani Nikalna Wajib Hai Aur 50 Bucket Nikalna Mustahab Hai.

 

Daleel: Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Kuen Mein Agar Murgi Gir Ke Mar Jaaye To 40-50 Bucket Pani Nikal Do.

 

🌟 Aur Agar Pani Mein Kutta🐶  Ya Aadami 🧍 Ya Bakri🐐 Gir Kar Mar Jaaye To Pura Pani Nikala Jaaye, Ya Inke Barabar Koi Aur Janwar Girkar Mar Jaaye Tab Bhi Yahi Hukm Hai. 


Daleel: Jab Ek Habshi (Ethiopian Ya African) Zam Zam Ke Kuwen Mein Gir Kar Mar Gaya To Ibne Abbas Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair Ne Pura Pani Nikalne Ka Hukum Diya.

 

 

💀 Warning💀

 Agar Chhota Janwar Ya Badha Janwar Pani Mein Phool Kar Fat Jaaye To Pura Pani Nikal Diya Jaega.

 

 

 

 

 

 

 

 

Bahta Hua Pani Ka Kuwan


Agar Aisa Bada Kuwan Ho Jismein Pani Kabhi Khatm Na Hota Ho Yani Jaise Pani Nikaalte Jayen Vaise Pani Aata Jaaye To Aisi Halat Mein Pehle To Najasat Ko Nikal Den Phir Andaaze Se Pani Nikale Ya Phir Akabareen (Bade Ulama) Kehte Hain 300 Bucket Pani Nikal Den.


Kuch Aur Jawab Ye Hain:

Ek Masla Yeh Hai Ki Aise Mamle Mein Itna Pani Nikala Jaaye Ki Log Thak Jaen

Dusra Yah Hai Ki Pani Ki Pahchan Rakhne Mein Maharat Jisko Hasil Ho Aise Log Pani Nikaalne Ka Hukum Den.

 

 

 

 Pani🌊 Ke Deep Masail

 

🌟 Agar Kuwen Ke Pani Mein Chuha🐭 Gir Kar Mar Jaaye Magar Logon Ko Maloom Na Ho Aur Wo Usi Pani Se Wuzu Banakar Namaz Padhte Jayen To Aisi Halat Mein, Unko Agar Maloom Ho Jaaye Tab 1 Din Aur Ek Raat Ki Namaze Dohrayen. Aur Agar Chuha Phool Kar Fat Jaaye To Aisi Halat Mein 3 Din Aur Teen Raat Ki Namazen Dohrayen.

 

Yeh Hanafi Group Ke Founder Hazrat Abu Hanifa Rz Ne Kaha Hai Magar Unke Students Kehte Hain Ke Aisa Kuchh Bhi Karna Wajib Nahin Hai. Chaliye Daleel Dekhte Hain.


Imam Abu Hanifa Ke Students Ki Daleel:  Pani Pehle Se Paak Tha Lekin Usmein Mara Hua Janwar Girne Ki Vajah Se Logon Ko Shak🤔 Ho Gaya. Dekhiye Bhai Aisa Bhi Ho Sakta Hai Ki Janwar Kahin Aur Mar Gaya Ho Aur Kisi Bewaqoof🤡 Ya Bacchon Ne Usey Pani Mein Dal Diya Ho.

 Aur Islam Mein Qayeda Hai Ke  Shak Ki Wajeh Se Yaqin Nahi Badalta, Agar Najasat Girne Ka Waqt Maloom Hogaya To Pani Usi Waqt Se Napak Mana Jayega.

 

Imam Abu Hanifa Ki Daleel: Ye Kehte Hain Ke Shak Kisi Cheez Ka Nahi Hoga Balke Confirm Samjha Jaye Ga Ke Janwar Pani Hi Me Mara Halanke Kuch Bhi Hua Ho, Waham Per Kuch Bhi Baat Nahi Maani Jasakti.

Imam Azam Ka Example: Agar Kisi Area Me Koi Aadmi Qatal Kardiya Hua Miley To Ye Hi Samjha Jayega Ke Usi Area Walo Ne Qatal Kiya Hai. Halanke Kuch Aur Muamla Bhi Hosakta Hai. Magar (Diyat Yani Mujrim Ke Jurm Karne Ka Payment Jo Wo Ada Karta Hai) Wo Area Walon Ko Hi Ada Karna Hoga. Isi Tarah Janwar Agar Pani Me Phool Jaye Ya Phat Jaye To Aisa Hona Is Baat Ki Daleel Hai Ke Janwar Ko Markar Der Hogayi Hai Aur  Kam Se Kam Time 3 Din Hai. Isi Liye Agar Muslim Insaan Agar Marjaye Aur Dafan Kardiya Jaye To Namaz E Janazah Usper 3 Din Tak Padhi Jasakti Hai.


Isliye Janwar Agar Pani Me Mara Hua Dikhne Par 1 Din 1 Raat Yani 5 Namaz Ko Dohrane Ka Hukm Diya.

Aur Janwar Phool Jaye Ya Fat Jaye To Aisi Surat Me 3 Din Aur 3 Raat Ki Namaz Dohrayen.


Warning

(Imam Sahab Ke Students Ki Daleel Me Asani Hai Magar Imam Sahab Ki Daleel Per Amal Kiya Jayega)





Jhuta Kiska Paak Hai?

 

 

➢ Insaan Ka Jhuta Paak Hai Muslim Ho Ya Non-Muslim, Chota Ho Ya Bada, Mard Ho Ya Aurat, Paak Halat Me Ho Ya Napak Halat Me, Aurat Haiz (Menstrual Bleeding🩸) Ki Halat Me Ho Ya Nifaas ( Lochia Bleeding 🩸) Ki Halat Me. 

  

➢ Isi Tarah Halal Janwar Ka Jhoota Bhi Paak O Saaf Hai.

 Jaise: Bakri (Goat🐐) Bhaidh ( Sheep 🐏) Gaaye ( Cow 🐄) Bhains ( Buffalo 🐃) Hiren ( Deer 🦌) Etc...

➢ Aur Halal Chidya (Sparrow 🐦)

Jaise: Myna, Parrot 🦜, Faaqta ( Dove 🕊️) Normal Sparrow Etc... In Sab Ka Jhuta Paak Hai Isi Tarah Ghode (Horse 🐎) Ka Jhuta Bhi Paak Hai.

 

Daleelen:👇

 

➢ Aadmi Ka Jhuta Paak Hone Per Daleel: Hadees Shareef Me Aata Hai Ke Nabi Kareem SAW Ko Lassi 🍹 Di Gayi Ke Aap Ne Dekha Ke Aap Ke Seedhi Taraf (Right Side) Ek Gaon Ka Aadmi Tha Aur Dusri Taraf (Left Side) Hazrat Abubakar RZ The To Nabi Kareem SAW Ne Thodi Lassi 🍹 Ko Piya Aur Baqi Lassi 🍹 Us Gaaon Ke Aadmi Ko Dedi Kyunke Wo Seedhi Taraf Tha. 

 

 

✔️ Isse Maloom Hua Ke Insaan Ka Jhuta Paak Hai.

 

📍 Jisper Ghusl 🧼 ( Bathing 🚿 ) Wajib Hojaye Uska Jhuta Paak Hone Per Daleel: Hadees E Paak Me Aaya Hai Ke Nabi Kareem SAW Ki Mulaqat Ek Sahabi Se Hui To Nabi Kareem SAW Ne Us Sahabi Se Haath Milane (Hand Shake 🤝) Ke Liye Apna Haath Aage Kiya To Wo Sahabi Ne Kaha Ya Rasool Allah, Mujh Per Ghusl Wajib Hogaya Hai Aap Se Kaise Haath Milaun 🤝 To Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Iman Wala Napak Nahi Hota.

  

✔️ Is Hadees Se Maloom Hua Ke Ghusl Ki Hajat Jis Ko Hoti Hai Uska Bhi Jhuta Paak Hota Hai.

 

 

📌 Aurat Jo Haiz🩸 (Mahawari / Menstrual Bleeding) Ke Period Me Ho Uska Jhuta Paak Hone Per Daleel: Hazrat Ayesha RZ Ne Farmaya Ke Mai Haiz 🩸 Ki Halat Me Ek Bartan Se Pani Peeti Thi Phir Nabi Kareem SAW Ko Wahi Bartan Dedeti Thi To Nabi Kareem SAW Bhi Usi Jagah Se Apna Munh 👄 Rakh Kar Pani Peete The Jahan Se Maine Pani Piya Tha.

 

 

🎯 Non-Muslim Ka Jhuta Paak Hone Per Daleel Ye Li Jati Hai.👇

 

 

📚 Daleel: Nabi Kareem SAW Ne 1 Non-Muslim Ko Masjid Me Ek Pillar Ke Sahare Baandhiya.

 

 

 

 

 

 

Dog 🐶 Pig 🐖 And Darindey 🐺 (Predators)

 

Inka Jhuta Napak Hai Agar Kisi Bartan Me Kutta 🐶 Munh 👄 Daal De To Us Bartan Ko 3 Baar Dhone Se Wo Bartan Paak Hojata Hai Mitthi 🏜️ Ka Ho Ya Tanbe (Metal 🪙) Ka. Magar Sahi Tariqa Ye Hai Ke 7 Baar Dhoye Aur 1 Baar Mitthi Lagakar Maanjh Bhi Den. Aisa Karne Se Achi Tarah Saaf Hojayega. Aur Jo Bhi Cheer Phaad Karne Wale Janwar Hain Sab Ka Jhuta Napak Hai.

 

🐶 Kutte Ka Jhuta Paak Hai Ya Napak Is Baare Me 2 Maslak Hain.


Imam Malik Kehte Hain Ke Kutte 🐶 Ka Jhuta Paak Hai.

Daleel: Nabi Kareem SAW Ki Masjid Jiska Naam Masjid E Nabawi Hai Us Masjid Ke Andar Kutte 🐶 Aajaya Karte The Magar Sahaba Kisi Bhi Hisse Ko Nahi Dhote The.

Aur Kehte Hain Ke Kutte Ki Zuban 👅 Se Hamesha Thook Tapakta Rehta Hai Jo Masjid Ke Andar Bhi Zarur Gira Hunga Magar Masjid E Nabawi Ki Safaayi Ka Hukm Nahi Diya Gaya.

 

Hanafi Ka Jawab: Mitthi ⛱️ Per Kutte Ka Thook Girne Per Wo Napak Hojati Hai Magar Sookh Jane Ke Baad Mitthi Paak Hojati Hai Isliye Nabi Kareem SAW Ne Masjid Ki Safaayi Ka Hukm Nahi Diya.

 

3 Imam (Hanafi, Shafai, Hunbali) Ke Nazdeek Kutte Ka Jhuta Napak Hai.


Daleel: Hadees E Paak Me Aaya Hai Ke Kutta 🐶 Agar Bartan (Utensil 🍲) Me Munh 👄 Daale To Us Bartan Ko 3 Baar Dho.

Is Hadees Me Bartan Ko Dhone Ka Hukm Diya Gaya Hai Aur Usi Cheez Ko Dhokar Paak Karte Hain Jo Napak Hoti Hai, Maloom Ye Hua Ke Kutte Ka Jhuta Napak Hai.

 

 

 

 

 

 

Gehre Masle (Deep Masail)

 

 

Imam Shafai Ke Nazdeek Kutte 🐶 Aur Pig 🐖 Ke Siwa Baqi Sab Darindon (Predators) Ka Jhuta Paak Hai.


Daleel: Nabi Kareem SAW Se Pucha Gaya Un Hauzon Ke Baare Me Jinme Darinde Munh 👄 Daal Kar Paani Peete The To Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Jo Janwar Ne Pee Liya Wo Uska Hai Aur Baqi Jo Bacha Wo Humara Hai Aur Paak Hai.

 

Hanafi Ka Jawab: Nabi Kareem SAW Se Jo Sawal Kiya Gaya Tha Wo Bade Hauz Yani (Maa E Kasir) Ke Baare Me Tha Aur Hum Bhi Maante Hain Ke Zyada Paani Jiski Miqdaar (Qty) Pichle Masail Me Guzar Chuki Hai To Utni Miqdaar Wala Pani 🌊 Napak Nahi Hota.

 

Hanafi Ka Dusra Jawab: Imam Azam Abu Hanifa RZ Per Qurbaan Jaaun Itni Tahqeeq Ki Hai Mashallah Aapne Ke Farmate Hain: Darindon Ka Jhuta Paak Hone Ka Hukum Islam Ki Shuruwaat Me Darindon Ka Gosht 🍖 Haram Batlane Se Pehle Ka Hai. (Naye Hukum Aane Ki Wajah Se Ab Wo Hukum Cancel Hogaya Hai Jisko Arabic Me (Mansooq منسوخ) Kehte Hain).

 

Hanafi Ke Nazdeek Saare Darindon Ka Jhuta Napak Hai.

Daleel: Ek Hadees Me Aaya Hai Ke Jo Janwar Daanton Se Shikar Karke Khaate Hai Aur Jo Parinde Apne Panjon Se Shikar Karte Hain, Aise Janwaron Ko Khaane Se Roka Kyunki Inka Gosht Haram Aur Napak Hai.

 

 

 

Billi (Cat 😺) Ka Jhuta Aur Baahar Phirne Wali Murgi 🐓 Ka Jhuta Aur Saanp (Snake 🐍) Aur Chuhe 🐁 Ka Jhuta Makrooh (Naa Pasand) Hai Islam Me.

Billi (Cat 😺) Ka Jhuta Paak To Hai Magar Dusra Pani Moujud Hone Per Us Pani Jisme Billi Ne Munh 👄 Daala Hai Wuzu Na Banaye Agar Pani Na Mile To Billi Ne Jis Pani 🌊 Me Munh 👄 Dala Tha Us Pani Se Wuzu Karsakte Hain.

 

 

Daleelen👇

 

 

Shafai, Hunbali, Aur Maliki Ke Nazdeek Billi Ka Jhuta Paak Hai.


Daleel: Hazrat Ayesha RZ Aur Humare Pyare Nabi Kareem SAW Ek Bartan Se Wuzu Karte Halanke Usme Unke Wuzu Karne Se Pehle Billi Uska Thoda Paani Pee Chuki Thi.

 

Hanafi: Billi Ka Jhuta Paak Hai Magar Makrooh (Na Pasand) Hai Islam Me.

  

Hanafi Ki Daleel: Billi Ek Darinda Hai. Isse Nabi Kareem SAW Ka Maqsad Maloom Hua Hai Ki Billi Bhi Darindon Ke Category Me Hai Magar Billi Ke Jhute Ko Napak Nahi Kaha Isliye Ke Billi Gharon Me Chalne Phirne Wali Janwar Hai.

 

Aur Saanp 🐍 Bichu 🦂 Aur Chuhe 🐁 Ka Bhi Same Hukum Hai.

 

 

Gadha 🐴 Aur Khachar (Mule) Ka Jhuta Paak To Hai Magar Us Paani Se Wuzu Karne Ke Baad Wuzu Hogaya Hai Ya Nahi Isme Shak Hai Isliye Akabireen Farmate Hain Ke Inke Jhute Pani Ke Siwa Aur Koi Pani Na Mile To Wuzu Bhi Karlo Aur Tayammum Bhi Karlo.

 

Imam Shafai Kehte Hain Ke Gadhe 🐴 Ka Jhuta Paak Hai Isse Wuzu Bhi Hojata Hai.

Daleel: Jis Janwar Ki Khaal Se Profit Lena Jayez Hai Wo Janwar Bhi Paak Hai.

 

 

Imam Azam Abu Hanifa RZ Ke Nazdeek Gadhe 🐴 Ka Jhuta Napak Hai.

Hanafi Ki Daleel: Khaibar Ek Jagah Ka Naam Hai, Wahan Ek Din Nabi Kareem SAW Ne Paltu Gadhon 🐴 Ke Gosht🍖 Ko Haram Kaha.

 

Is Hadees Se Maloom Hua Ke Gadhe 🐴 Ka Jhuta Haram Hai, Jab Gosht Haram Hai To Uska Jhuta Bhi Haram Hai Isliye Ke Thook Bhi Gosht 🥩 Se Hi Banta Hai.

 


Saavdhan Ek Aur Hadees Hai👇

Hadees E Paak: Ek Sahabi Ne Aap SAW Ko Batlaya Ke Mere Paas Gadhon 🐴 Ke Siwa Aur Kuch Bhi Nahi Hai To Nabi Kareem SAW Ne Farmaya Ke Unme Se Jo Mote Taazey Hain Un Ko Khaalo🍽️.💀

 

✔ Aisi Hadees Jisme Gadhe 🐴 Ka Halal Hona Bhi Sabit Horaha Hai Isliye Zyadatar Hanafi Group Me Gadhe Ka Jhuta Shak Yani Mashkook Hai.




Tayammum (Dry Ablution)



Yahan Se Tayammum Yani (Mitthi Se Wuzu Jaisi Paaki Kaise Hasil Karte Hain) Bataya Jayega.


Tayammum Ka Meaning {Irada Karna} Hai.


Tayammum Karne Ki Daleel:


Quran: فَلَمۡ تَجِدُوۡا مَاءً فَتَیَمَّمُوۡا صَعِیۡدًا طَیِّبًا (Surah Al Maida)


Ayat Ka Matlab: Agar Tumhe Pani Na Mile To Mitthi Se Paak Hojao.


Hadees: Nabi Kareem SAW  Ne Farmaya Ke Paak Mitthi Insaan Ko Paak Karsakti Hai Agar Pani 10 Saal Tak Na Mile.



Tayammum Kaise Islam Me Shuru Hua: Ek Baar Nabi Kareem SAW  Ek Ladayi (Fight) Me Hazrat Ayesha RZ Ke Saath Tashreef Le Gaye Ke Raaste Me Hazrat Ayesha RZ Ka Ek Haar (Necklace) Jo Unho Ne Apne Behan Se Maanga Tha Wo Haar  (Necklace) Gum Hogaya To Nabi Kareem SAW Ne Sabhi Logon Ko Wahi Per Rukne Aur Kuch Logon Ko Us Haar Ko Dhundne Ka Hukum (Order) Diya, Aur Jis Jagah Aap Sabhi Ruke Hue The Wahan Per Pani Available Nahi Tha Jab Namaz Ka Waqt Aagaya To Logon Ne Wuzu Ke Baghair Namaz Padhli Phir Nabi Kareem SAW  Ko Khabar (News) Di Gayi Ke Logon Ne Wuzu Ke Baghair Namaz Padhli, To Usi Waqt Allah Ta'la Ne Tayammum (Dry Ablution) Ke Baare Me Aayat Nazil Farmadi Jo (Surah Maida) Me Hai, Aur Uske Baad Wo Haar (Necklace) Bhi Milgaya.







                                                                          Tayammum Ke Masail

Agar Kisi Ke Paas Itna Bhi Pani Naa Ho Jisse Gandagi Dhoyi Jasake Aur Wo Insaan Safar Per Ho Ya Apni City Se  (1 Mile) Dur To Aise Insaan Ke Liye Tayammum Karna Jayez (Legal) Hai.


Agar Insaan Aisi Condition me ho ke Uske Paas paani available ho Lekin wo beemar (Sick) Ho, Aur Agar Wo Pani Me Haath Dale To Uski Wo Bimari Aur Zyada Badhne Ka Darr Ho To Aise Insaan Ke Liye Tayammum (Dry Ablution) Islam Me Jayez ( Legal) Hai.


Agar Garam Pani Se Uski Bimari Me Koi Farq Na Aaye To Aisi Halat Me Garam pani Se hi wuzu (Ablution) ya ghusl (islamic Bath) Karna Wajib (Mandatory) Hai, Aur Agar Garam Pani Mil Na sake to tayammum ( Dry Ablution) Karna Jayez hai.


Agar Kisi Jagah Itni Sardi (Winter Season) Ho Agar Pani Ka Istemal Karke Wuzu Ya Ghusl Karen to Maut Hojane Ya Bimar Hojane Ka Darr (Fear) Ho Aur Blanket Waghaira Bhi Naa ho Agar wuzu Ya ghusl karlen to usme aakar garmi paasaken to aisi halat me tayammum ( dry ablution) karna Durust yani Sahi hai.




Notification Pop-up