Milad Un Nabi Ko Eid Kehna Jayez Hai Ya Nahi! Wahabi Exposed!


  Eid e Milad Un Nabi

Wahabi Ka Kehna: Eid Kehte Hai Khushi Ke Din Ko Aur Eid Ke Din Roza Rakhna Makroohe Tahreemi {Haram Ke Khareeb}Hai Aur Musalman Is Din Roza Bhi Rakhte Hain Aur Nahi Bhi To Batao Kaise Ye Eid Hui.


Ahl e Sunnat Wal Jamat Ka Jawab: 

Do Daleel Hai Ek Hai Aqli Aur Dusri Ilmi

Ilmi Daleel: Jumma ka Naam Suna Hai Kabhi, Ji Han Juma Bhi Eid Ul Momineen {Har Insan Jo Islam Qubul Kar Chuka Hai} Us Ke Liye Eid Hai Aur Is Din Bhi Koi Roza Rakhna Chahe To Rakhe Aur Na Rakhna Chahe To Na Rakhe Ye Uski Marzi Hai, Isi Tarah Milad Un Nabi Bhi Aisi Hi Eid Hai Chahe To Roza Rakhe Ya Chahe To Na Rakhe.


Aqli Daleel: Koi Bhala Kyu Kahega Ke Aaj Meri Salgira Hai Tum Log Manao Aur Mujhe Mubarak Baad Do Khushi Ka Izhar Karo Is Din Mai Paida Hua, Zahir Si Baat Hai Jo Log Chahne Wale Honge Wahi Khushi Manayenge.


Note: Ye Daleel Tab Kam Me Aayegi Jab Koi Jahel Se Wasta Padjaye Aur Wo Kahe Ke Nabi Kareem SAW Ne To Unki Milad Manane Ka Hukm To Nahi Diya.

और नया पुराने